Zakhmi Thi Kitni Maa Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2024
Lyrics
Dafna ke Fatimaؑ ko jo ghar aaye Murtazaؑ
Bachon ko dekhte hi kaha haaye Fatimaؑ
Tadpe suni behan se jo bhai guftagu
Zainabؑ se keh raha tha yeh mazloom-e-Karbala
Zainabؑ se ro ke kehta tha Zahraؑ ka laadla
Zakhmi thi kitni Maa
Rote hue Hussainؑ ke lab par yeh bain tha
Zakhmi thi kitni Maa
Bhai behan ki bandh gayin yeh keh ke hichkiyan
Baazu pe aur haath pe dure ka tha nishaan
Tooti hui thi pasliyan pehlu shikasta tha
Zakhmi thi kitni Maa
Mushkil se haath rakh ke woh sajda bhi karti thin
Tasbeeh ek haath se woh phir na parh sakin
Qunfuz ne taaziyaane se kaisa sitam kiya
Zakhmi thi kitni Maa
Kehte the Nanaؐ jaan ke ek waqt aayega
Zahraؑ ko zakham jab yeh zamana lagayega
Nanaؐ ke baad jald hi woh waqt aa gaya
Zakhmi thi kitni Maa
Haaye woh ek neel tha jo Maa ke chehre par
Zaalim ne haath uthaya tha yeh mujh ko hai khabar
Afsoos ke Hussainؑ magar kuch na kar saka
Zakhmi thi kitni Maa
Dar thokron se jalta hua un pe dha diya
Aur dar pe paon rakh ke shaqi ghar mein aa gaya
Naamooos-e-Mustafaؐ ko yun paimaal kar diya
Zakhmi thi kitni Maa
Woh zakham samne the jo hum dekhte rahe
Lekin woh zakham Maa ke jigar par the jo lage
Zainabؑ Hussainؑ zakham wahi dekhta raha
Zakhmi thi kitni Maa
Hamla dar-e-Batulؑ pe itna hua shadeed
Madar zameen pe gir gayin Mohsinؑ hua shaheed
Khoon Madar-e-Hussainؑ ka bikhra tha har jagah
Zakhmi thi kitni Maa
Bhai behan yeh keh ke Asadؔ roye der tak
Mara hamaari Maa ko bohot cheena hai Fadak
Hum usko yeh batayenge Mehdiؑ jab aayega
Zakhmi thi kitni Maa