Karbobala Bulaiye Moula Lyrics
- Genre:Spoken Word
- Year of Release:2022
Lyrics
As Salam Walaika Ya Ababdillah
Aye Shahe MashraQain Aye Zehra Ke Maharoo
Rakhte Hai Ap Sabki Umeedo Ki Aabroo
Jo Rehgaye hai unki bhi poori ho Justaju
Dil mein hai Buss Hussain se Milne Ki Aarzoo
Mushkil Safar hai kijiye Aasaan Raasta
Moula Hussain Apko Sughra ka Waasta
Main Be Qarar Hoon Roza Dikhaiye Mola
Mujhe Bhi Karbobala Mein Bulaaiye Mola
Dua Ye Mang Kay Aaya Hoon Main Madine Se
Lagaya Apne Jis Tarhaa'n Hur Ko Seene Se
Mujhe Bhi Seene Se Apne Lagaiye Mola
Bicharr Kay Apse Jeena Buhat Hi Mushkil Hai
Hussain Ap Jaha'n Hain Waheen Mera Dil Hai
Naa Toot Jaaye Mera Dil Bachaiye Mola
Hussain Mujhko Faqat Itni Zindagi To Mile
Yahan Pe Soun To Karbobala Mein Ankh Khule
Koi To Mojza Aisa Dikhaiye Mola
Badi Tamanna Hai Lekin Karu'n Main Kaise Safar
Buhat Ghareeb Hoon Koi Nahi Hai Zaad e Safar
Mere Liye Koi Rastaa Banaiye Mola
Jahan pe seene pe barchi lagi thi Akbar ko
Jahan pe teer laga be zuban Asghar ko
Wahan main jaonga kab ye bataiye Mola
Wo khemaa gaah wo maqtal wo tilla e Zainab
Karunga apka matam muqam Dekh kay sab
Bas aik baar mujhe bhi bulaaiye Mola
Kataa kay bazoo jahan moo kay bal gire Abbas
Sakina reh gai pyasi na uth sake Abbas
Mile the bhai se kaise bataiye Mola
Yehi tamanna hai Zeeshan Aur Mesum ki
Bas ek baar to dekhen wo Karbala hum bhi
Hume'n bhi Izn e ziyarat sunaiye Mola