Sabr Hyder Ne Kiya Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Hukm e sarkar kay paband ki ghurbat hai suno
Ay Azadaron ye Haider ki musibat hai suno
Fatima Zehra per jalta darwaza gira Sabr Haider ne kiya
Mustafa yaad rahe haaye har zulm saha Sabr Haider ne kiya
Kistarhan Maa ko sukoon aaye nahi hai Mohsin
Kitni takleef mein Zehra Ne Guzare hain Wo Din
Pasliyan toot gayi zakhmi pehlu bhi hua Sabr Haider ne kiya
Waqt e rukhsat ye wasiyat thi Nabi kay lab per
Tum mere baad na talwar uthana Haider
Rassi gardan mein bandhi han magar kuch na kaha Sabr Haider Ne kiya
Haaye Ek Hath Se Tasbeeh Jo Parhte Dekha
Chup Kay Zehra Se Buhat Roye Ali Sher e Khuda
Haaye Jab Zehra Kay Saamne Jana Hua Sabr Haider Ne kiya
Jab Suna Raah Mein Zehra Ne Tamancha Khaya
Roke Zehra Se Kaha Waqt ye Kaisa Aaya
Kitna Paband Hoon Main Apko Mara Gaya Sabr Haider Ne kiya
Rokay Haider Ne Kaha Kuch na Bataya Zehra
Pasliyan Toot Gain ye bhi chupaya Zehra
Fatima Zehra ko Ghusl Jis Waqt Dia Sabr Haider Ne kiya
Jab Janaza Hua Tayyar Nabi Zaadi Ka
Tod kar Band e Kafan Maa Ne di bete ko Sada
Maa Se Liptay Jo Hussain Ghar Mein Matam tha Bapa Sabr Haider Ne kiya
Haaye Ro Rokay Ye Zeeshan Ne likha mesum
Jab Talak Saans hai ye Bhool Nahi Painge Hum
Fatima Chor Gain Reh Gaye Jab Tanha Sabr Haider Ne kiya