Mai Aagaya Sakina Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Gurbat ki Inteha Hai Kaise Banyaan Ho Manzar
Zindaan e shaam mein Jab Aaya hussain ka Sar.
Aayi Nazar Sakina Jab Be Rida Zameen par.
Zehra ke laadle ka Sar rehgaya tadapkar.
Beti ko dekhkar ye Sar baap ka Pukara Mai Agaya Sakina
Seena Samaj ke Haaye Sar se mere lipatja Mai aagaya sakina.
Khaaye hai tumne bibi harr mood par tamache
Ruksar par nishaan hai Zalim ki Ungliyo ke.
Maarega ab na koi zaalim tumhe tamacha.
Mai agaya sakina.
Na-Qe se bhi Giri ho kaaton pe bhi chali ho.
Karbobala se ab tak harr gham utha chuki ho.
Jaogi saath mere ab gham na koi hoga.
Mai Agaya Sakina
Phupiyo ke saath jab tum panjo pe chal rahi thi.
Kaise rasan ki tumne takleef wo sahi thi.
Zakhmi labo se zakmi gardan ka lene bosa.
Mai Agaya Sakina
Maqtal ki simt tumse Ye kehke mai chala tha
Zindaan mein tumse milne mai aaounga sakina.
Aye meri shahazaadi poora hua wo waada.
Mai Agaya Sakina
Iss kamsini mein haaye baalo mein hai safaidi
Aye laadli tumhari Ghurbat hai Maa k Jaisi.
Ghurbat ke iss safar mein ab tum nahi ho tanha.
Mai Agaya Sakina
Baba ko apne dil ka jo haal hai sunado.
Sar tasht se uthakar seene se tum lagalo
Milne ko tumse kabse bechain hai ye baba
Mai Agaya Sakina
Gauhar bhi chin chuke hai kurta bhi jal chuka hai
kaano se khoon hai jaari kya haal hogaya hai.
Tum apni bebasi pe aansoon na ab bahana
Mai Agaya Sakina
Zeeshan aur Meesum Beti ne sar uthaya
Roone lagi lipatkar sab haal bhi sunaya
Chup ho gayi wo bachi jab baap ne pukara.
Mai Agaya Sakina