Maza Aagaya Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Ali Ya Ali Ali Ya Ali Ali Ya Ali Ali Ya Ali
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Aj kaabe mein aaye Ali ke kadam kulle imaan aaya maza aagaya
Leke ahmed ne haathon pe karrar ko naara hyder lagaya maza aagaya
Jus ali k nahi koi dooja ali khud ye suraj ne haq ka bayan dediya
Apni ungli se palthaya uss shams ko waqt e magrib phiraya maza aagaya
Jung e khaibar mein marhab ne lalkaar ke sab sahabi ko hairaan pareshaan kiya
Teg e haider chali yun ajab shaan se tukde marhab hua yun maza aagaya
Buss nusairi ka hain ek hi taskera buss ali hi ali hain khuda hi mera
Aaye maidaa mein hyder yun gaazi k sang rukh se parda hataya maza aagaya
Harr nabi ki madad ki hai harr daur mein harr nabi pe hai ehsaan tere naam ka
Toh pata chal gaya naam e hyder se yun mushkil e darr ke bhaagi maza aagaya
Aayi arsh e bari se nabi ko sada aa mere paas aa mere mehboob aaa
Jab risalat ke kadmoon se pehle waha naal e hyder jo paayi maza aagaya
Phir bulakar khuda ne nabi ko kaha tumko karna hain aqd e batool o Ali
Arsh se jab sitara chala farsh per chuma dahleez e hyder maza aagaya
Ban gaya dulha jo mera moula ali aur mohammaed ki beti bani h dulhan
Khud malayak ne sehra ali k liye h falak se jo laaya maaza aagaaya
Sab sahabi k dil mein tha armaa yehi ek din hum bane jaanasheene Nabi
Phir mohammaed ne haidar ko karke buland kehdiya sabka moula maza aagaya
Ishq e hyder na ho toh ibadat nahi zikr e sarwar na ho toh shifaaat nahi
Uss ali ki vilayat ko dil mein liye sajda mai ne kiya youn maza aagaya
Kehdo Mazhar Yehi Likhdo wahed Yehi padhdo Meesum yehi hum Ghulaam e Ali
Leke naam e ali karke zikr e ali aisi mehfil sajayi maza aagaya