Abbas ka Jashan Hain Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Moula Abbas Moula Abbas Moula Abbas
Teri Aamad par Khush Hua Sansaar
Phool saare Chaman k mehekte hue muskurate hai Abbas ka jashn hain
Aur khilte hue aj Ghunche bhi yun Gungunaate hai Abbas ka Jashn hain
Noor hi Noor hai Anjuman Anjuman khusboo pehli hui hain Chaman dar Chaman
Jaise Gul Roushni mein Nahaye hue Jagmagate hai Abbas ka Jashan hain
Ye Hawa jo Alam ke pharere ki hain ismein khusboo Jinah k Sawere ki hain
Puchta hai koi hai ye kaisi Fiza Hum batate hai Abbas ka Jashan hain
Chand Ummul baneneen ka hua Jalwagar saal 1400 isko hue hai magar
Momeneen iske khushiya manate hue ghar sajate hai Abbas ka Jashan hain
Kitna uncha hai Abbas ka martaba fatima ne ise apna beta kaha
Aj Ummul baneneen ko liye panjetan khud bhi aate hai Abbas ka Jashan hain
Keh rahe hai farishte falak par yehi aj allah ka bhi hai mansha yehi
Dhoom kaisi hai dekho zameen par machi Hum bhi jaate hai Abbas ka Jashan hain
Aasmaan k sitaro ne milkar kaha ho rahi hai zameen par jo bazme sana
Maangne aj apne liye phir Zia hum bhi jaate hai Abbas ka Jashan hain
Farshe mehfil hain yeh jaanamaz e wila ba jama ad padhe hum namaz e wafa
Aao aao mohibbo Qasida naya hum sunaate hai Abbas ka Jashan hain
Jashan ka dekho Manzar hai kitna Haseen Rash ke Jannat bani apne Ghar ki Zameen
Kyu na aaye farishte falak se yehi hum bulaate hai Abbas ka Jashan hain
Karbala ke Azadaar masroor hain sabke chehre masarrat se Purnoor hain
Askh khushiyo k palko pe thaire hue jagmagaate hai Abbas ka Jashan hain
Aarahi hai Rasheed ab sadaye yehi hukm dete ho jaise hussain aur Ali
Manqebat leke mehfil mein pohocho abhi Hum bhi aate hai Abbas ka Jashan hain