Maiyyat pe Murtaza ki ye Abbas Ne Kaha Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Jab bete apne baba ko pehna chuke kafan
Manzar wo dekh dekh kay rote rahe Hassan
Mayyat pe Murtaza ki ye Abbas ne kaha
Main dekhta hi reh gaya kuch bhi na kar saka
Ye haal apne Baba ka bhulenge kaise hum
Muljim kay bete tune ye kaisa kia sitam
Sajde mein mere Baba ka sar zakhmi kardia
Main dekhta hi Reh gaya kuch Bhi na kar Saka
Dil phat raha hai mera yehi soch soch kay
Manga Namaz e shab mein wo jis baap ne mujhe
Khoon uska mere saamne behta raha Khuda
Main dekhta hi reh gaya kuch bhi na kar Saka
Ye Sabr Maine Baba ki Khatir Dikhaya Hai
Qatil ko Apne Hath Se Sharbat Pilaya Hai
Baba Ka Hukm Maan Kay Khamosh Hogaya
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Bheja tha Larne Baba Ne Siffeen Mein Mujhe
kyun Aaj Mujhko Rok Lia Sab Ne Ghaiz se
Qatil tha Mere Saamne Haaye Musibata
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Koofay Mein Shor Utha Kay Zakhmi hue Ali
Dekha Suay Madina To kehna laga Jari
Sharminda Apse hai Buhat Apki Dua
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Han Zindagi Mein Pehli Dafa Mere Saamne
Shahzadiyon ki Ankhon Se Ansu Rawan Hue
Hum Sab Yateem Hogaye Baba Hue Juda
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Mai Jaa raha hu meri wasiyat na bhoolna.
Haaye
Mai Jaa raha hu meri wasiyat na bhoolna.-
Bhulunga Kistarhan Se Wo baba Ka Bolna
Main Ja Raha Hoon Meri Wasiyat Na Bhulna
Koofay Kay Sab Yateemon Se wo Hogaye Juda
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Sonpa Hai Hath Baba Ne Aaqa Hussian a.s Ka
Rokay Na koi Karbobala Mein Karo Dua
Aisa na ho Wahan bhi ye deta rahun Sada
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka
Zeeshan Abidi Ne ye mesum ko di sada
Ghar se Janaza Uthha to kohram Mach Gaya
Mayyat ko Kandha dekay ye Abbas Ne Kaha
Main Dekhta Hi Reh gaya Kuch Bhi Na Kar Saka