Aj Kaabe Mein Aaye Hai Hyder Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Rajjab ki 13 ko
30 aou mil fee mei
Khana e khuda mein Aks e Khuda ka Zahoor hua
Uss Sultan e Kayenaat ne Zameen pe aate hi Pehla Jumla Kaha
Qad Af La Hal Momenoon
Aaj momineen Kaamiyaab hue
Ho Mubarak tumhe ya Mohammad Aj kaabe mein aaye hai Hyder
Jo hai mushkil Kusha e Do Alam Jo Banega Ajayeb ka Mazher
Shah e Marda ki Aamad hui hai Aj kaabe k Lab par Hasi hain
Khulke deewar e kaaba Mili hain Kya haseen Lag raha hai Ye Manzar
Ya Ali Ya Ali ke hai Naare Jhoomte hai Mohib milke Saare
Wajd mein aagaye hai sitaare aur jibreel kehte hai Haskar
Hai Khushi ab Zameen o Zama mein ek Naya noor hai Aasmaan mein
Aamade budh shikan se Jahan mein Khaouf se marr rahe hai Sitamgar
Aagayi teg bankar khuda ki ilm ki ab Nehr hogi jaari
Bol uthegi saari khudayi deen ka aagya hai mukhaddar
Deen ka yeh Banega Maseeha Aur Wali hoga Ye kibriya ka
Haq ka Elaan Karega ye harr jaan ungliyo pe liye Baabe Qaibar
Iska Quran padega Qaseeda Iski Azmat batayega Kaaba
Noor se iske Hoga Ujala Aur Laqab hoga saakhe e Kausar
Binte Asad ka Kaabe mein aana bhi hai Kamaal
Manzar falak se dekhta hain Rabbe Zuljalaal
Binte Asad jo kaabe ke Nazdeek aagayi
Manzar yeh dekh Kaabe ki Deewar Dar Bani
Jalwa Khuda ka Khana e kaaba mein aagaya
Moula Ali (ع) ka Noor Zamane pe Cha gaya
Daste Nabi ko Moula ne Mimber Banaliya
Quraan ko Padke Quraan ne Quraan suna diya
Daste e Nabi pe Aisa tha Jalwa Ameer ka
Manzar Nazar mein phirne laga tha Ghadeer ka
Aamad e murtaza per her ek aa'n
Aamad e murtaza per mein qurbaa'n
Teri aamad pa aye shah e mardaa'n
Hai saja kabe ke bhi labou per
Wahed O Meesum e Khush Aqeeda Dil mein rakhte hai apne irada
Saath Milkar padenge Qasida Karke Sajda Ali ke Yeh Darr par