Wasiyat e Ali Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Haaye Ali Haaye Ali
Haaye Ali Haaye Ali
Yaad aarahi hai rukhsat e Haider ki wo ghari
Kehte the sab ko pass bitha kar yehi Ali
Main ja raha hoon meri Wasiyat Na Bhoolna
Deen e Muhammadi ki Hifazat Na Bhoolna
Dekho Hassan Ye tumse Wasiyat hai mere Laal
Ab Mere baad rakhna Yateemon ka tum Khayal
Be aasra hain unse Muhabbat Na Bhoolna
Abbas Ko Gale Se lagaya to ye kaha
Jab Tak Tumhare haath Salamat Hain Bawafa
Behnon ki chadaron ki hifazat Na Bhoolna
Zainab Suno main sham e ghariban mein Aonga
Phir Karbala se sham Talak sath Jaonga
Bas tum mere Hussain a.s ki ghurbat Na Bhoolna
Main Ja Raha Hoon Meri Wasiyat Na Bhoolna
Deen e Muhammadi ki Hifazat Na Bhoolna
Kulsoom Aur Ruqaiyya Jab ajaaye Koi Gham
Zainab Ka Sath tumne nibhana Hai Har Qadam
Ye Baat Meri Waqt e musibat na Bhoolna
Shabbir Ye sitam kay rukenge na Silsilay
Sar Per tumhare sajde mein Talwar jab Chale
Us Waqt apne baba ki Zarbat Na Bhoolna
Jab Qaid hokay Betyian jainge Be Rida
Fizza Tumhen Hi Dena Hain Us Waqt Hosla
Hai Fatima a.s ki bhi ye Wasiyat Na Bhoona
Mesum Ab Aur Kia Likhe Zeeshan Abidi
Ro Rokay Apne Bachon Se Kehne Lage Ali
Main Sath Sath Hoon Ye Haqiqat Na Bhoolna
Main Ja Raha Hoon Meri Wasiyat Na Bhoolna
Deen e Muhammadi ki Hifazat Na Bhoolna
Haaye Ali Haaye Ali
Haaye Ali Haaye Ali