Armano K Phool Khilenge ft. Abdul Hadi & Mohammed Yusuf Lyrics
- Genre:World Music/Folklore
- Year of Release:2022
Lyrics
Hindustan Hindustan
Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Mera watan hai pyara pyara hum sab ka hai Hindustan
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga

Surma chandan mitti iski aaba ka ye kehna tha
Azadi hasil karne zanjeer ka gehna pehna tha
Jaan ka nazrana de ker is gulshan hi me rehna tha
Ishq ka mantar aisa koyi jab jab bhi dohraye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Hindu Muslim Sikh Esayi rehte hai khushhal yaha
Himmat azm se qayim rehta hai apna Iqbal yaha
Kanya Kumari se Kashmir talak hai ek sur tal yaha
Jo ek bar yaha aaya yaa ka ho ker reh jaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Her ek jalwa nashsha aawar naghma ye mastana hai
Nur o Nusrat ki tareekho se pur ye afsana hai
Is dharti ka jo deewana hai bas wo Farzana hai
Mehr o mah ko husn se apne sadyo ye barmaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Azmate Ganga showkat e Hampi awr sehraye Thar ki aan
Husn e Ajanta awr Elora Taj Mahal ki apni shan
Tipu Gandhi Nehru Johar Laxmi Bai ki ye jaan
Dobara sone ki chidya ka qissa dohraye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Azadi jamhur ukhuwat ka aisa inzam rahe
Adl o aayi ki mey chalke dastoori wo jam rahe
Tarz e hukoomat ho wo misali hind ka uncha naam rahe
Shaahi aiwano ko jashn e jamhoori lalkare ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Paas Nabi hum ko dayim ho haq ka hum elan bane
Tham le apne rab ki rassi awr kamil insan bane
Desh hamari shaan hai awr hum apne desh ki shan bane
Dekh ke baatil apne azayim jijhke ga sharmaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Shab ki tahreero pe qabiz noorani si tahreere
Nasl e naw ke haath taraqqi ki hai aisi tasweere
Kal tak khawb jo dekhe un ki hasil hogi tabire
Khush rang o sar mast tiranga har su phir lehraye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Armano ke phool khilenge ge her shehri muskaye ga
Hindustan hamara rashke jannat phir kehlaye ga
Teri azmat ta baa bad ho nam ho tera rakhshanda
Dehr me tera oaj salamat tabinda awr payinda

Kaif e mazi tu hai awr tu hi noor e aayinda
Mitti sona ugle gi awr badal hun barsaye ga