![TOOFAAN ft. praosh](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/09/28/4c675486b5e843a2a9a4002d4c622b28_464_464.jpg)
TOOFAAN ft. praosh Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
INTERVIEWER
Dhongi ji har baar rozgar ek bada mudda Banta hai
Aur jab aap aaye the to aapne wada bhi kya tha
Ki aap rozgaar uplabdh karayenge
Ek crore Logon ko... Logon ko
Rozgaar denge?
DHONGI JI
Koi na koi vyavsay karenge, Kamaai karenge
Koi ek aad vyakti ko Rozgaar denge
Koi auto rikshaw Chalayega
Koi pakode ki dukaan karega
Koi chai ki dukaan karega
Koi Akhbaar bechne ka kaam karega
Koi deposit deke aa... Agency lega
Toofaan hai toofaan hai
Toofaan hai toofaan hai
Jo palti zubaanein
To jalti duukaanein
Hai kitne fasaane
Ye jalte zamaane
Jo Noton ki Parto
Me uljhe hi rehte
Haqeeqat na jaane
Kise sach ye Mane
kitno ko ginke mai
Likhdoon taraane
Apna mijaaz Haazir jawab
Isliye janab ye bade jahaaz
Aayenge kashti Dubaane
Kagaz ki kashti Dubaane
Hai poore khilaaf
Aayenge hasti mitaane
Hum sab ki hasti mitaane
Ki nahi hai jawaab
Basti banane
Kitni lagi dekho mehnat
Ye basti banane
Ki aadam ko aadam ki hasti banane
Ki apno me apni si Masti jagane
Ki kagaz ki kashti Dubaane
Aoge kis kis ki hasti mitaane
Be asthi uthaane
Aaoge kis kis ki hasti mitane
Ki Kagaz ki kashti Dubaane
Haan ji ji nahi hai thikaane
Rozi ke nahi hai thikaane
Nahi ji ji nahi hai thikaane
Nahi nahi ji nahi hai thikaane
Nahi nahi ji rozi ke roti ke
Nahi hai thikaane
"interlude"
Imaan hai imaan hai
Imaan hai imaan hai
Ki kitni zubaano pe
Rakha kimaam hai
Daaton me gulkand
Haathon me paan hai
Sachchi naseehat pe
Inke na kaan hai
Khud se sambhalti na
Khud ki kamaan hai
Total kukarmi bhi
Banta mahaan hai
Tum hi batao ab kaise
Karoge tum Inka bharosa?
Ki ye nahi shaitan hai
Haan ji ji nanga hamam hai
Haan ji ji nanga hamam hai
Utarte tamaam hai
Isme utarte tamaam hai
Bhaari hai deh aur
Halke se halke ye pran hai
Inka wazan bhi to
Dekh beta, oopar se, neeche se
Peeche se ikkis gram hai
Aage se karte salaam hai
Peeth peeche ghopenge chaakoo
Ye baatein bhi aam hai
"interlude"
Yuva hai yuva hai
Yuva hai yuva hai
Ki hum bhi jawaan hai
Kya hum baddua hai?
Padh padh ke
Aalim aur faazil hua hai
Thoda to jeene ke kaabil hua hai
Humko dhakela jo zaahir hua hai
System to dekho Jo jaahil hua hai
Maa ko laga kaisa beta padh likh ke
Pakode ki raidi ke kaabil hua hai?
Gehra kuwaan hai, Gehra kuwaan hai
Hum sab ne khela hi andha juaan hai
Maa ki duaa hai, maa ki duaa hai
Humko bachati jo maa ki dua hai
Gehra kuwaan hai, Gehra kuwaan hai
Hum sab ne khela hi andha juaan hai
Maa ki duaa hai, maa ki duaa hai
Humko bachati jo maa ki duaaon ne
Jadoo hai kaisa ye kar dala
Panne ko poora haqeeqat se bhar dala
Maine uthaya jo pen, to kehte hain men
Tujhko darayenge, darr sala
Hum jo kahenge wo bol
Chacha na ban tu ye chaarcha na khol
Kitna hi lega tu kharcha to bol
Public se kar dena baatein tu gol
Gol gol gol gol gol gol
Mere paale me aagai hai bol
Sabko dikhaoon mai tere ye jhol
Seedhe nishaane se pakka hai gol
A pen transmits voice of the soul
Ab tak dikha nahi kya, ab ye dikhega
Sach jo tika nahi tha , sach bhi tikega
Ban gai thi jam gai thi jhoothon ki Mandi
Jitna tatolo tum sach nahi milega
Toofaan hai toofaan hai toofaan hai toofaan hai
Tumne Racha ye jo man ka toofaan hai
Humko hamari nahi dikhti samasya ki sabki samasya pe haawi toofaan hai
Humko hamari nahi dikhti samasya ki sabki samasya pe haawi toofaan hai
Humko hamari nahi dikhti samasya ki sabki samasya pe haawi toofaan hai
INTERVIEWER
Pakoda talne me koi mushkil nahi hai, koi buraai nahi hai, Koi kharabi nahi hai
Pakode talna aasaan bhi hai
Koi bhi pakoda tal sakta hai
Hum sab pakoda tal sate hain
Par usme jo bada sawaal hai, wo ye hai
Aur ye samajhne ki baat hai ki aakhir pakode khareedega kaun?