SAMJHOUTA Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2021
Lyrics
Deewar ke sahare khada
Hai sar gada
Tange kapdo ke beech
Mai dekhu ateet
Jinme chamkna wahi
Mitne ke kareeb
Pahonch rahi najre phir bhi
Samjhoute pe raji na mera zameer
Unke liye jinko tedi karni lakeer
Samjhouta bss bhes badalke aayi bheek
Jo kabil hathome
Dikhena jarabhi theek
Badalaon ke liye bane
Failane ke liye nahi
Tabhi asaan raasto ke badle
Bech nhi raha
Shuruwaat me khudse jo thi ummeed mujhe
Jeetnabhi to apni shartonpe
Kar lunga aur kuch
Taki paise ghar pahunche
Pr unke peeche
Beimaan hogi ae kala na
Aakhir wajood ae
Aehsaan mujhpe kala ka
Mera bhala hi chahte
Mere saare salahgaar
Jab wo kehte
Tu trend pakadle jrasa
Pr mera dil
Ae deta nahi ijazat
Aur usne jaisa socha
Waisa hi bnna kalakaar
Is raaste se rishta
Ab nibhana qyamat tak
Lakir ae kalam se
Kagaz kala pathhar
Iska matlb
Nahi badalne wala maksad
Haalat battarr
Khade gardan pe hath rakhkar
Gardan me akad
Ae jhukti nahi aise waqtpar
Sar uncha tabhhi
Jab jaunga mai rakh bankar
Yani ki lash bankar
Tyyari aajhi
Kalbhi zinda rhenge akshar
Jaan jhoki aaj toh kal bhi zinda rhenge akshar
Jaan ke ae baat
Bs me na insaani haath ke
Ke thodi si koshish ke baad
Hi lakire kaat de pr
Najare khaas
Gr dekhoge meri aankh se
Majboor nahi
Majboot kiya halaat ne
Umar-16 se yaad
Umar-22 ke paath
Umar-22 hai aaj
Uglta rhymes me raaz
Hai grind pe naaz
Grind hi pyaar
Jo rehte aas-paas
Unke samajse paar
Pr samaj gaya wo bss
Lagana chahte daam
Har dusre insaan ka
Usi hisab se
Hai milta bhi sammann yaha
Pr mujhe pata
Mai keemat khudki jaanta
Toh bhed ki iss bheed me
Mai hota bhi nilaam na
Ab bheed kam
Zyada kadmo ke nishaan na
Hai raasta sunsaan thoda
Kala se imaan ka
Sabse keemati cheej
Ae waqt hi maangta
Aur utna bhi asaan nahi
Hai waqt se saamna
Mujhe hai lagta rehta
Chhod du mai bhi ae zidd
Lasho pe pet bharu
Bann jau mai bhi gidhh
Pr mehnat ka mja
Wo alag, sahi, pyari cheej
Pehlehi bol diya
Samjhouta hai bs ek bheek
Jo kabil hathome
Dikhena jarabhi theek
Badalaon ke liye bane
Failane ke liye nahi
Tabhi asaan raasto ke badle
Bech nhi raha
Shuruwaat me khudse jo thi ummeed
Mujhe jeetnabhi to apni shartonpe
Mujhe jeetna hai wo bhi apni shartonpe