![IMTEHAAN](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/04/08/dd1b2e784a9b402e84589e12c166b09f_464_464.jpg)
IMTEHAAN Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2021
Lyrics
Ghar se bahar chaar din aur char sau sawaal
Peechha na chhodte ae parchhaayi pe hai sawaar
Doobta suraj deta chaar ummeed ki saansein
Kal ka suraj imtehaan leke hai tayaar
Imtehaan kya sapno se pyar karte sachh me?
Kya tab bhi ladhoge jab pichhese hat jaye apne?
Kya aaj bhi lagate ho utnahi jor jab
Tumpe sabki thi aur ab nahi kisiki najre?
Kaise badhoge jab mehnat pe na mil rahi taali?
Kabtak ae zidd? kabtak yun kaam krke bhi jeb khali?
Kya phir bhi suni dil ki? logon ki baatein taali?
Ya lagna shuru sabki baaton me hai samazdaari?
Kya unki baatein hoti dikh rahi hai sachh?
Samay ke saath haathse chhoote sapne sabb?
Kya aaj bhi jaari taare todne ki latt?
Ya lagta ghoomte kaante layenge na apna waqt?
Ghoomte kaante layenge kya apna waqt?
Mile na jawaab saare khali haanth aya ghar
Uss din logonki baatein krne lag gayi asar
Pal bhar mein maanli haar, kaant diye khudke parr
Udne ki khwaish pe haavi hua girne ka darr
Agle din mai bhi
Gardan neeche haath peeche
Ho gaya tayaar chahe sehni padi lakhh cheejein
Rahunga door iss sapno wali baat-cheet se
Sunke chhod dunga chahe dil ae laakh cheekhein
Laakh chheetein sharir pe leke ghuma uss din
Sapno ka gala ghont bn gaya tha buzdil insaan mai zinda
Par saans lena mushkil
Har pal me dua karta jaldi se aaj ki raate beetein
Najar me dhalta sooraj, ummeed ki saansein baaki thi
Ek din ka kaidi banke, keemat jaan li azadi ki
Lagne do waqt ab...hoga samjhouta nahi
Phirse na galti kisi aur ki baaton me aaneki
Meri mehnat ka maksad taali ki awaj nahi
Ae khali jeb mita sakti mere khwaab nahi
Haa sapno se mai pyar karta hoon sachhme
Mai unse reh sakta hoon jyada der naraj nahi
Ae jo seekha aaj rahega saath kal bhi mere
Dil ko chupp karna matlab
Jeena galatfehmi mein
Meri life mei life kaisi thi
Jab
Na mere usool nahi chal rahi meri marzi se
Teri life teri life kaisi hai
Jab
Na tere usool nahi chal rahi teri marzi se
Mai phir se bahar chaar din aur char sau sawaal
Peechha na chhodte ae parchhaayi pe hai sawaar
Doobta suraj deta chaar ummeed ki saansein
Kal ke imtehaan ke liye mai hoon tayaar