Azaadi Ki Kahaani (Choir Performance Live Recording) (Live Performance Version) ft. AMTC Choir Lyrics
- Genre:Gospel
- Year of Release:2024
Lyrics
Ek desh tha kuchh sadiyon se
Jakda hua zanjeeron mein
Thi qaum uski tadpi har pal
Videshi hukumaranon ke tale
Qurbaan huyi thi jawaani
Yeh hai woh azaadi ki kahaani x3
Manzil-e-azaadi ki chaahat liye
Jaane kitne hi qurbaan huye
Thaa kisi veer ka unhe intezaar
Videshi hukumat ko jo rukhsat kare
Thi jung bhi woh roohaani
Yeh hai woh azaadi ki kahaani
Aise mein unhe koi aisa dikha
Satya ahinsa mohabbat bhara
Rasta dikhake woh chalta raha
Judte hain log aur bana carvaan
Par kisike iraade the shaitaani
Yeh hai woh azaadi ki kahaani
Pyaar-mohabbat se jo darr gaye
Videshi hi nahi kuchh apne bhi the
Ahinsa ke raahi ke qaatil bane
Maafi phir bhi de gaya woh unhe
Jab unhine di thi har pareshaani
Yeh hai woh azaadi ki kahaani
Kya aapko kahin aisa laga
Gandhi aur Bharat ki hai yeh daastan
Milti kahaani hai yeh bhi magar
Sadiyon ka hai inmein to faasla
Yeh waqt tha jab Yahoodi praja
Romi samraton ki marzi bina
Kuchh kar nahi sakti thi tab wahan
Yeshu Masih ka chala daur tha
Use khata ki keemat thi chukaani
Yeh hai woh azaadi ki kahaani