
O Zindagi ft. Alok Ranjan Srivastava Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2024
Lyrics
Aankh moond le naseeb ke dukhi
Nakaar le hazaar yaar berukhi
Gubaar ye vichaar ke utaar de
Ke paar ho sake apaar zindagi
O zindagi
So gaye kayi makaan bech ke
Aadmi kayi mahaan des ke
Tu bhi neend maar le
Guzaar le zameer bech ke
Udhaar zindagi
Jaaga jaaga hai kyun yahaan
So gaye sabi
Andhera taan ke yahaan
So gaye sabhi
Khabar mein hai zeher
Zeher ka hai asar sheher mein
Bikhar bikhar ke
Sach ke paaon sar pade kabar mein
Jalne de aaj ye jahaan
Bharne ne saans mein dhuaan
Ghar tera aag mein jale
Jaagna tabhi
Maarte hain kursiyon pe baith ke
Gaal pe tere chamaat khainch ke
Saari maar tu gale mein le utaar
Le sakegi phir dakaar zindagi
Jaaga jaaga hai kyun yahaan
So gaye sabi
Andhera taan ke yahaan
So gaye sabhi