![Ajnabee](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/02/08/ac5a50abb2474298a1165b3728fbb549H3000W3000_464_464.jpg)
Ajnabee Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Zindagi ki raahon pe milunga tujhe fir kabhi.
Jab mein tera, tu meri par hum ajnabee.
Mere ajnabeee, teri lath lagi, teri lath lagi mere ajnabee.
Aaya tera kabiraa
Zindagi me dekhe hazaron mukhde.
Ik aisa mukhda kar gaya hazaron tukde
Tukde us dil ke jo mehfooz ashiyana
Dar badar ye bhatke dhundhta naya thikana jaana.
Hum raza mein rehte, sawal chand the
Sath unke jeene ke liye hum razamand the
Jazbaaton ki deewaron mein fase hum band the.
Aakhir tak chaha par hum unki aakhri pasand the.
Jaan na pehchaan par wo jaan ban gayi
Apsara thi kese wo shaitaan ban gayi
Lath lagi Sukoon ki baton mein wo teri khona
Lipte ik duje se niche makhmali bichona
Niche makhmali bichona
Yaadon mein teri khona
Ab bhi chahun tera honi karti tu jaadu tona
Kesa tera jaadu tona?
Ho na ho ye upar wale ka hi to khel hai
Salakhon se dikhe tera chehra jail ye
De do ab saza ya kar do rihaa
Gunhegaar hun mein tujhko chahna gunaah
Apna mana tujhko to baaki begaane
Kalam ye cheere kagzon ko likhti fasane
Yaddo mein teri lahu luhaan gaane
Tere kadar meri kalam pehchaane
Jism ko tere chune ka khayal ant mein
Darinda duniya ke liye par tera sant mein
Dil ne kaha tu chahiye to dhadkan ruka li
Us din se har ladki ko dekh nazrein jhuka li
Jo dil mein tu hai mere to dimag mein koi aur kese
Tu hi to kahazana mera kurban ye Daulat aur ye pese
Kurban ye Daulat aur ye pese Janiya
Zindagi ki raahon pe milunga tujhe fir kabhi.
Jab mein tera, tu meri par hum ajnabee.
Mere ajnabeee, teri lath lagi, teri lath lagi mere ajnabee.
Ajnabiyon ki mehfil mein tum mere khaas ban gaye
Mein maut se jodne chala tha Rishta tum jeene ka ehsaas ban gaye
Baatein kyun hai teri chubhne lagi
Mein na jaanu teri lath kyun lagi
Bhul gayi sab kuch teri wajah se
Khoyi apni khudi ho mere ajnabee
Mere ajnabee mere ajnabee