![Dar Tha](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/02/08/89b858f39a484c1ba3ef0ed621a3549bH3000W3000_464_464.jpg)
Dar Tha Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Jab tak tu mere paas thi, Tujhe khone ka dar mujhe har pal satata tha
Ab tujhe kho chuka hun, to sala ye roz ka dar to khatam hua
Aaya tera Kabiraa
Waqt na mere paas par waqt ka takaaza hai
Khule bazaaron mein nikla janaaza hai
Umeed ki kiran na koi darwaza hai
mera akelapan aur upar betha khwaja hai
Farak na padta tere saath ke nazaron se
chaahton ki feherist mein upar tu hazaron se
Becha zameer tune ishq ke bazaron mein
Mein mehnat karne betha taqdeer ke kinaron pe
Jald bahar aaun jazbaaon ki deewaron se
Dekhu tujhe beth kamiyaabi ki minaron se
Naam tu paadhegi mera aaye din akhbaron mein
Tulna karegi fir apne manpasand sitaaron se
Dilo jaan se kari teri hifazat
Kaid kiya dil mein tune deti Na zmaanat
Mein dur jana chahun mujhko dede ab ijazat
Bhula diya khuda ko karta teri kyun ibadat
Ibadaton mein hai tu
Meri aadato mein tu
Dur hai jaana tu mujhse
Par ab bhi meri chahaton mein tu
Jab tak tu paas thi, dar tha tujhe khone ka
Ab kho diya tujhko to gam zinda hone ka
Jab tak tu paas thi, dar tha tujhe khone ka
Ab kho diya tujhko to gam zinda hone ka
Sikhaya papa ne beta dar ke nahi jeena
Badal gaye vichaar jab mili wo haseena
Mein sedha sadh baanda tha fir ho gayaa kameena
Ab tere sang hi marna aur tere liye jeena
Mohtarma adab se tum pesh aayi
Gazab se mere ishq ko tu bech khayi
Gira mein ishq mein tere gehri ye dekh khayi
Yaadein teri kheech ke mujho tere desh laayi
Aj sheher bhi tera aur bazaar bhi tera
Bazaar mein laga jo wo vyapaar bhi tera
Vyapaar ki Daulat ka ambaar bhi tera
Aur mere dil mein dafan dekh jana pyaar bhi tera
Khod ke nikale jo jazbaat the dafan
Inhe saamne litaya aur odha ddiya kafan
Teri yaadoon ki aayi aandhi uda le gayi kafan
Haar maani mene kiya khudkio fir dafan.
Tujhse naraaz na hun ye baat Khalti hai
Teri har shaam uski baahon mein dhalti hia
Dekh nazara ye rooh meri jalti hai
Jab tu naagin banke uski goad mein machalti hai .
Jab tak tu paas thi, dar tha tujhe khone ka
Ab kho diya tujhko to gam zinda hone ka
Jab tak tu paas thi, dar tha tujhe khone ka
Ab kho diya tujhko to gam zinda hone ka
Ek aakhri baar meri khatir itrana,
Fursat mile to emre janaze par aana
Zindagi bhar ka safar to na tay akr saki mere sang
Mere aakhri safarname mein hi shirkat kar jana.