Sada Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Ya Rab koi dikha mjhe raah ab
Thak chuka miley is dard se na raahat
Dikhti nai koi umeed ki kiran
Tu de mjhe thori or larney ki taaqat
Tu hi Maalik Tu hi mera Khaaliq
Nahi chup skti Tjhse is dil ki jo haalat
Jeena tw chahtay dubara phir hum
Par ye dunya nhi deti is cheez ki ijaazat
Tor k wo dil jisme Rehta Khuda
Kia faida kis kaam ki ibadat
Kehte raho saaray mjhko bura
Mubarak ho tmko tmhaari sharafat
Karwa k sb mjhse apnay gunah
Kehte mjhhi ko mein krgya baghawaat
Ye rasta mera meine khud se chuna
Sbko meri trf se Khuda Hafiz
Sach sunne ki agar nhi tmko aadat
Tw tm ho munafiq tu nai mere saath ab
Milunga tmse mein jis din qayaamat
Rakhna mohabbat ko meri salaamat
Mat krna meri qabar pe koi sajaawat
Mein chor k jarha tmharay liye geet ye
Mere jo banchukay meri viraasat
Rkhna smbhaal k mere ye kaaghaz
Tootay dil k tukray sada tootay dil se nikley
Ke suraj phir se nikley hon khatam sab dil se dukhrey
Kaho tw sach kabhi tum nafrat karo khul k mjhse
Phoolon mein bhi tw tum dekho aksar kaantein chubtey
Ana mein jalgaye kuch mitti k khata k putlay
Dunya mein sar jo kabhi kisi k aagay na jhuktay
Maula dar pe tere bethe apnay teke ghutnay
K kisi tarah bus meri ye sada tu sunley
Karde Paak mjhko sab mere gunaahon se
Manzoor hai mjhko mere liye jo bhi saza tu chunley
Khogaya hun mein gumrah bhatakta raahon mein
Karde Karam koi dikha mjhko rasta tu phir se
Bina darey ai dil mein jo baat kahi
Kabhi ye nhi socha kia ghalat kia sahi
Lgta hai bura tw phir chor jao mjhe
Hun mein gunahgaar magar mein dhokaybaaz nahi
Mjhe bardasht nahi
Ghalatbaat sahi jaye mjhse kisi ki bkwaas nhi
Karway alfaaz nahi kisi ka lihaaz mjhe chahiye jawaab mazeed or ye sawaal nahi
Kiska qusoor? kese judayga dil jo ye hochuka choor?
Kesa suroor? jese peiron k neeche jo hoti hai dhool
Tum mitti k banay tw kesa ghuroor?
Nai sab kuch kharid sakta paisa huzoor
Mumkin hai esa tw mjhko bata
Kharidni hai mjhko ek mere liye rooh
Ek lohay ka dil jo tootay na kbhi
Hum dekhein jo sapnay puray hon sabhi
Maula Tu kr mjhpe thori mehar
Nahi Tere Khazaanay mein hogi koi kami
Mein chor k jaarha sb kuch apna
Mere chahnay waalon ko khush rakhna
Kehna nahi kare koi meri fikar
Mein sehlunga hass k har dukh apna
Tootay dil k tukray sada tootay dil se nikley
K suraj phir se nikley hon khatam sab dil se dukhrey
Kaho tw sach kabhi tum nafrat karo khul k mjhse
Phoolon mein bhi tw tum dekho aksar kaantein chubtey
Ana mein jalgaye kuch mitti k khata k putlay
Dunya mein sar jo kabhi kisi k aagay na jhuktay
Maula dar pe tere bethe apnay teke ghutnay
K kisi tarah meri ye sada tu sunley
Karde Paak mjhko sab mere gunaahon se
Manzoor hai mjhko mere liye jo bhi saza tu chunley
Khogaya hun mein gumrah bhatakta raahon mein
Karde Karam koi dikha mjhko rasta tu phir se