Gunah ft. Shokey Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Akhir kis gunah ki saza ye pyasa ye dil leke betha darya
Aakhir kis gunah ki saza k mein jitna smbhalun bikhrta rha
Jese bachi na koi jeene ki waja ho tw phir ghr wapis bulalo mjhe Mere Khuda
Aadha neend aadha hosh mein
Tere khayal teri soch mein
Dooba hun mein is qadar k karun aankh band tw lage jese ab bhi hun mein teri hi aaghosh mein
Kaafi saalon se khaamosh the
Kbhi hum dono bhi dost the
Aj bhi hum muskurate tw bus yaad krke tmhein wrna zindagi tw katjayegi afsos mein
Maut k qareeb jarhe likhe meine geet saarey
Apnay beetey haal pr poochey gaye sawaal pr
Betha mein udaas mulaqaat ki umeed haarey
Mohabbat sachi jisko miley wo naseeb waalay
Paisa zarurat mgr jaan se azeez na
Thi tjhse barhke dunya mein koi mere liye cheez na
Aya mjhe phir ek khwab Kuch ajeeb sa
Mein so nai paya raat bhar bus baaki sb kuch theek tha
Dekha meine phir ek haadsa dubara
Mjhe laga jese tmne mera naam phir pukaara,
Uske baad se dubara so nhi paarha
Meine ek or raat wqt jaag k guzaara
Mein sb tjhpe lutaa Dun agar ajaye phir Tu waapis
Pr nhi dunya mein koi taaqat
Esi koi bhi na ibaadat
Lagta ghr khaali imaarat
Mjhe horai phir ghabraahat
Kia tm ab bhi aas paas mjhe sun sakti ho shayad?
Ye khaali kamra mjhe kaantnay ko doray
Betha roz sb kuch chor k kahin bhaagney ka sochay
Peechey log bhi tw boht bethe aas mein jo meri
Kese apnon ka dil apnay haath se hum torein?
Nichoray goray kaagaz pr apnay kaalay kartoot
Saaray dukh dard saaray jama kie jo saboot
Sunday ko confessions pr nhi holy mera booth
Kia mein waqai itna Paak ho dua meri qubool
Is dard ka ilaaj kuch btaiyye huzoor
Mjhe rehne deta qaabu mein nhi mera ye fitoor
Sb mashwaray fuzool meine azmaa ke dekhe
Jinse tha dil ko sakoon wo jaake asmaan pe bethe
Rahenge gham ye zindagi bhr saath mere
Koi na le saka teri jaga jaanay k baad tere
Banaya tha jo kabhi mahal baray shoq se
Wo khud apnay haath se kia barbaad meine
Yehi waja k aankhein rahein nam
K Mere chahney waalay bachay kam
K sunke bhi na jese mjhko koi smjh ske
Pr tm pehchaanlete usse pehle k kuch kahein hum
Kisi kaam mein na lagay man
Jese dairay mein phasay hum
Jbse khoya meine tmhein mjhe yaad nai
K ek dafa bhi kbhi sakoon se ho soye hum
Akhir kis gunah ki saza ye pyasa ye dil leke betha darya
Aakhir kis gunah ki saza k mein jitna smbhalun bikhrta rha
Jese bachi na koi jeene ki waja ho tw phir ghr wapis bulalo mjhe Mere Khuda