Karachi Meri Jaan ft. Illuminhadi Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Khole khoon doray ragon mein junoon
Kehte ishq mein or jang mein nhi hotay koi asool
Toray qanoon police rahi mjhe dhoond
Jese kia meine qatal par koi mera nhi qusoor
Na koi gawah na saboot ese ghayab jese bhoot
Jese soldier on the border khole fire in the booth
Lion on the loose ata qaabu mein nhi kisi ke
Heavy ammunition chalein automatic machinein
They mjhe roknay walay jo wo dhasse andar zameen k
Main kr chuka hun paar saari hadein saari lakeerein
Wo jo khada mout k bhi moo mein muskura de
Meray sath hai Mera Rab tw mjhko chaiye nhi sahaaray
Tmhein pata nhi wo baatein kitni raatein jb tanha mein
Bilkul pathar baandhe peit pr akela tha mein bhooka soya
Kitni dafa toota roya
Kitna kuch jo meine khoya
Jaatay na nishaan kbhi jitna marzi meine dhoya
Daaghi hatheli meri kargayi mjhko baaghi
Zindagaani ek paheli tere bin rahegi aadhi
Rest in peace to my homies from the streets
Wo jo mjhse pehle saray jo guzr gaye meri saathi
Ha mein baghi jbse hua mein sharaabi
Ha mein baghi mjhko fikar nhi zara bhi
Ha mein baghi jbse hua mein sharaabi
Ha mein baghi mjhko fikar nhi zara bhi
Karachi Meri Jaan, hojaye murder magar lagey jese aam haadsa hai
Ye Karachi Meri Jaan, lawaaris shehar meri tarah jese bina baap ka hai
Ye Karachi Meri Jaan, bolay paisa tw phir sb ko smjh ati hai zubaan
Apni qamar pe laga k ghumein maut ka samaan
Jeena mushkil hai idhr beta marna asaan
Ye Karachi Meri Jaan, kisi ko bhi kahin pe bhi thokdete sare aam
Ye Karachi Meri Jaan, sb kuch bikta hai agar sahi lagey daam
Ye Karachi Meri Jaan, chalein seedhe raastay se saaray buray kaam
Ye Karachi Meri Jaan..
Ye Karachi Meri Jaan...!
Revolution jese bolay tw mein kranti
Bolo Jinnah mjhe ya phir Bolo Gandhi
Bandook hath mein hun betay tera baap mein
Ishaaray pe tu dekh kese puri dunya naachti
Soch smjhkr baat krna auqaat ki
Ghusne se pehle goli poochti h zaat nai
Hun mein sarkaar dun police ko pagaar
Darjanon mein niklein saanp jab bhi jhaarun apni aasteen
Mat kr tu koshish krne ki meri baraabri
Jawaani barbaad karein bottlein sharaab ki
Sabaq seekhey mehangey
Jis wqt jaib mein the nai paise
Bacha kch nai paas baaki khele baazi jaan ki
Gurbat apna sbse bara jurm
Bus ek usi ko mitaanay ko tw hua ye sb shuru
Jise beta aaj tu apna ustaad bolta hai
Ek waqt pe wo mjhe apna bolta tha guru
Mere laga jese mu ko lahu..
Kese peechey hatun?
Dil mein mere khof zara sa nai raha kisi ka mein Rabba tere siva or kisi se na darun
Jalein qadam jese aag pe mein chalun
Chahta nai tu marna tw tu bilawaja shor na kar
Na mumkin pakarna mjhko bhalay puri force laakar
Roksakti hai tw mjhe bus ab mout aakar
Jhaant nhi ukhaar saktey mera tere 4 father
Karachi Meri Jaan, hojaye murder magar lagey jese aam haadsa hai
Ye Karachi Meri Jaan, lawaaris shehar meri tarah jese bina baap ka hai
Ye Karachi Meri Jaan, bolay paisa tw phir sb ko smjh ati hai zubaan
Apni qamar pe laga k ghumein maut ka samaan
Jeena mushkil hai idhr beta marna asaan
Ye Karachi Meri Jaan, kisi ko bhi kahin pe bhi thokdete sare aam
Ye Karachi Meri Jaan, sb kuch bikta hai agar sahi lagey daam
Ye Karachi Meri Jaan, chalein seedhe raastay se saaray buray kaam
Ye Karachi Meri Jaan..
Ye Karachi Meri Jaan!