Dekh maa Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Dekh maa
Tera beta nashe karraha hai
Wazan uska girraha hai
Duniya bari zaalim lekin beta tera chalraha hai
Kharche poore karraha hai
Bikhra bohat baar lekin khudse wo samhalraha hai
Baap se Kiya waada wo tou aj bhi poora karraha hai
Dil pe tou zakham bara hai
Thora wo bhi sarphira hai
Kaafi zada ghumzada hai
Kehta sabko alvida hai
Milta na ab logon se
Bangaya sharaabi
Wo dikhe ab na roadon pe
Shows kai baad phir bhi log akkay photo len
Dil Mai kaafi ghum ab na hansi hai hoton pe
He's at war with himself aur wo haarraha hai
Lagataar kitni raatein wo ab jaagraha hai
Uspe kaafi zimmedari aur wo jaanta hai
Par usse Hoti hai bechaini wo iss sheher se tou seedha seedha bhaagraha hao
Dekh maa, Tere bete ka Kiya haal hai
Waqt Mai hai qaid
Aur wo duniya se bezaar hai
Chaaron taraf zehr
Apne aap Mai giraftaar hai
Aur mille na koi apna
Ya tou saare khaate khaar hai
Dekh maa
Tera beta nashe karraha hai
Wazan uska girraha hai
Ye duniya bari zaalim par wo Teri khaatir larraha hai
Kalam uska chalraha hai
Log chorke gaye usse
Aur ab nashe usse choote na
Likhta rehta wo uska Kalam ab tou toote na
Likhta wo hai gaane takke chaahne wale roothe na
Par wo ab rehta hai akela
Wo mar bhi gaya tou aakhir kon usse poochega?
Kon usse roothega
Bacha na hai koi
Duniya se bezaar wo
Uski Raza na hai koi
Uske zinda rehne ki waja na hai koi
Aur Dede usko mout aisi saza na hai koi
Kaatil uski dillagi hai
Bewaja tou zindagi hai
Karre wo manzar kashi hai
Dard bharri tou ye garhi hai
Par duniya ye ghum saare chorke
Wo rehta zinda Tere baare sochke
Gawah wo hai apna wo rehta na ab hosh mai
Wo tou shuru se jihaadi ab kiya hum usko dosh de