![Mulk Ka Janaza](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/10/29/e48e158e522746fb9b7b9d89c0b6b8df_464_464.jpg)
Mulk Ka Janaza Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Nikaalo Tum iss mulk ka janaza
Jahan pistol hee hai bas tera asasa
Aam aadmi tou Marta bhooka pyasa
Badkismati tou Dekho, Apne mulk ka Janaza Mai khudi uthata
Nikallo Tum iss mulk ka janaza
Jahan pistol hee hai bas tera asasa
Aam aadmi tou Marta bhooka pyasa
Badkismati tou Dekho, Apne mulk ka Janaza Mai khudi uthata
Baghair wardi wale guard ko kisne di hai takat?
Police khud lutairey, Kon karega hifazat?
Ye Islami nahi riyasat
Kaisa hai ye mulk?
Note chaapne tou karlo sarkari mulazmat
Kuch hone nahi wala, jab tak Bethe zardari jaise log Hain siyasat.
Ya Khuda inhe de thori hidayat
Humhe chahiye inayat
Ghareebon ko chahiye Hain reayat
Arshad Sharif ko kardia shaheed
Qoum Kai sipahi ko tou mout hai Azeez
Lekin shahadat ka bhi Kiya faida
Agar saxhe Kai seene pe goli lagay 30
Wo tou shuru se raees
Maarne se pehle uski maa ko sochte
Wo tou khochuki dono beton ko, bacha koi na
Azeez
Arshi zada mat bol
Tere Liye bhi kaali vigo ayegi
Meri kala rahein Meri laash chup hojayegi
Sachai hai ye gayegi
Aur kala Meri chaheygi
Bhookon ki roti in choron nai bhi khayi thi
Kaisa ye daur
Kalam hai haath Mai
Kaghaz bhi raakh hai
Mullay napak Hain
Aur thullay nawab Hain
Arey thori tou kar sharam
Humari behene nahi mehfooz kis baat ka ye bharam
Kaise musalman Jo larte lekke dharam?
Bohat hoowa ab, soch badalli Hain apni
Ya tou marounga ya maarounga ye khaali
Maine kasam
Peshawar Kai bachon ko bhoolgaye Kiya?
Wo bache jo gaye Thay phir school Thay Kiya?
Zainab ki laash ko Tum bhoolgaye Kiya?
Mitti Mai dafan usool Hain ya
Haan ye mulk bana qabristan
Roz jaati idher chabbis jaan
Roz tyre bhi jalte aur log bhi marte
Chori Kai illawa nai koi raasta, wo baap kaise nikale
Apne bachon Kai kharche
Jaladon ka hee Raaj hai
Gullu butt jaise ghunday
Bethe Hain seat pe, tou phir bacha Kiya ilaaj hai?
Insaaf tou namumkin, umpire shaat hai
Likhraha Hoon ye lafz Bina kisi dar Kai
Bhaley Meri lash mille kisi naaley Mai
Bekhouf chahe 2 guard dhaaley Mai
Mujhe tou dafanadenge
Kala Meri poche phir asmaano Mai
Khauf o hirasat Mai leli riyasat
Ye Kaisi siyasat
Ye mulk hai Mera na inke baap ki virasat