
Nasheed Medley Duff Only Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Jahan dakhun tujhy dekhu
Main chahu bus tujhy chahu
Bas itni si tamana hai
Main jab mangu tujhy mangu
Jahan dakhun tujhy dekhu
Main chahu bus tujhy chahu
Saans ki dori tujh se bandhi hai
Dil ki dharkan tujh se juri hai
Lahoo mai dorta hai tu
Tu na ho toh mai mar jaon
Jahan dakhun tujhy dekhu
Main chahu bus tujhy chahu
Aye khuda aye khuda
Jis nay ki justujoo
Mil gaya usko tu
Sab ka tu rehnumaa
Aye khuda aye khuda
Har sitaarey main
Aabaad hai ek jahaan
Chaand sooraj teri
Roshni ke nishaan
Aye khuda aye khuda
Jis nay ki justujoo
Mil gaya usko tu
Sab ka tu rehnumaa
Aye khuda aye khuda
Ya Muhammad noor e mujassam ya
Ya Muhammad noor e mujassam ya habibi ya maulai
Tasweer e kamal e mohabbat tanveer e jamal e khudayei
Ya Muhammad noor e mujassam ya
Tera wasf bayaan ho kis se
Tera wasf bayaan ho kis se teri kon karega barayei
Nabi ji teri kon karega barayei
Sallala teri kon karega barayei
Tera wasf bayaan ho kis se teri kon karega barayei
Iss gard e safar mein gum hai
Iss gard e safar mein gum hai jibreel e ameen ki rasayei
Ya Muhammad noor e mujassam ya habibi ya maulai
Tasweer e kamal e mohabbat tanveer e jamal e khudayei
Ya Muhammad noor e mujassam ya