Khatu Shyam Bhajan-Tere Darbar main baba mera ana zaroori Tha by Sudhir Singha Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Tere darbar main baba
Mera aana zaroori tha
Tere charno main aake shir
Jhukana zaroori tha
Zamane bhar ki daulat
Pake mujhko tab samajh aaya
Zamane bhar ki daulat
Pake mujhko tab samajh aaya
Yeh daulat saath na degi
Saath tera zaroori tha
Tere darbar main baba
Mera aana zaroori tha
Hai mujhko yaad vo har din
Yeh zamane ne sataya thaa
Tune hi khatu wale shyam
Gale mujhko lagaya tha
Tujhe mai bhool baitha tha
Mujhe phir bhi hai apnaya
Mere dukh dekh ke baba
Tujhe phir bhi reham aaya
Jake ab mujhko samajh aaya
Na tujh se badhke hai kuchhbhi
Mujhe jeevan ki yeh pehlu
Samajhna bhi zaroori tha
Tere darbar main baba
Mera aana zaroori tha
Samay aane par saya bhi
Saath ko chhod jata hai
Zamane se hai kiya shikva
Muh apna mod jata hai
Magar tu yaad rakhta hai
Chahe hum bhool bhi jaaye
Sada tu apne bhakto ki
Naiya ko par pohunchaye
Jab dukh aaye to yaad aaya
Jab sukh tha mai tujhe bhula
Mujhe jeevan main dukh ka din
Dikhana bhi zaroori tha
Tere charno main aake shir
Jhukana bhi zaroori tha
Zamane bhar ki daulat
Pake mujhko tab samajh aaya
Zamane bhar ki daulat
Pake mujhko tab samajh aaya
Yeh daulat saath na degi
Saath tera zaroori tha
Tere darbar main baba
Mera aana zaroori tha