Loading...

Download
  • Genre:Hip Hop & Rap
  • Year of Release:2021

Lyrics

Mara mari, yeh toh pagalo ka daur nikla

Kamyabi tole kisko kisse khauf kitna

Kya zara si kardi kalko maine galti

Ki sunli apne dil ki?

Ab toh har taraf hai raub dikhta

Was born different, par sehlu isko aur kitna?

Locked in my mind's prison, main born sinner

Cole taught me we choose from what we are given

But please God forgive me, agli baar nahi pyaar chunna

Kya hi karta, jaisa dekha waisa seekhta tha

Nanhe paudhe ko zeher bhi dedo kheench jaata

Aur main toh beta hu us baap ka

Jo la deta khilaune har uss shaam jabki daantna ya peetna tha

Jitna jeeta utni zindagi se aati ghinn

I'm not suicidal, bas khulke kehdi baat dil ki

Suna mere sheher mein nafraton ka trend chala hai

Somebody dissed me, I wishеd him well and paid a bill

Kash (Kash, kash)

Inme akal hoti zara si, dilon mein khot

Maila hai paani vichaaron ka, aks na dikhе zara bhi

Note-on mein dhundte fire azaadi

Shaitaan dimaag pe haavi

Sabhi ke aakhon mein lage hai taale, andhero mein khojte fire yeh chaabhi

I got a question

Chaabhi toh ek nahi, chaabhi anek hai

Why do they feed on their family?

Killing to prosper, selling their dream

I sit and I ponder, sabhi toh vehem hai

I'm praying to God, tu dikha de raasta, utha de neend se hamein

We live in a dream. ho bhale ishaare peeche (Uh)

Mera yeh sheher hai khwaabon ka kaatil

Hath range huwe laal

Kalam uthake rakha maine panno pe

Yeh sapne huwe sakaar

Yaha zameen ko khodoge aaj, milenge artist dafan hazaar

Likha yeh gaana unhi ke khaatir

Bhale hi cheen lo mere se saans

Jaan lele kalakaar ki

Yeh kalah toh aati nahi baaz

Likhe hai gaane 5-we class se

Haar nahi mana main aaj bhi, I done survived this shit for a while

Aaj huwa poora 21-wa saal

Gote lagadi iraadon mein, kinaron ki na talash


Apne gam se mera apna gehra naata

Kehna chahta par shayari likh jaata hu

Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada

Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu

Apne gam se mera apna gehra naata

Kehna chahta par shayari likh jaata hu

Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada

Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu


Ye us likhaari ko

Jis ke ghar me chaltay faakay

Wo ab nai toota

Kalaa se umeed baandhe

Ye us likhaari ko jo asool toray dunya ke

Seena rakhay chora kahe teri deals nahi chaiye

Ye us likhaari ke liye jo tasveerain khenchta

Ye us likhaari ke liye jo rooh nahi bechta

Jisse ke nahi chaiye teri nokri hazaaro ki

Wo daakhil hona chahta

Mehfil me kalaakaron ki

Ye us ke liye jo haar nahi maanta

Jo dekhta nahi dusron ko apni jaghan jaanta

Khuddaar wo

Wo dhool nahi chaat'ta

Hawaa ka rukh dekh ke us rukh me ni bhaagta

Wo maangta hai izzat tumse maangta nai note wo ye

Ye binti hai meri

Kalakaar ko izzat do

Likhta fasaane jese harf ki rawaani

Shaayar hote saare faani reh jaati bas kahaani

Uski rooh na jaane kis sheher me choot gai

Apna shaoor apni aqal usse loot gai

Zaahir aur baatin me uske nai parda

Dunya se be-khof wo bas khud se hi darta

Wo tor chuke kitne hi rishte o naate

Wo chahta nai log jo na usse samajh paate

Wo rakhta hai yaad har zakham ke naqqaash ko

Daagh hain siyaahi ke par dil ka hai saaf wo

Farishta nahi usne shetaan sang tori roti

Usse tere mere jese baton ki na fikar hoti

Dost hai khuda ka

Wo shetaan se bhi batain karay

Kalakaar

Ham jese na wo faraq karay

Khol deta saamne dunya ke kul-kamaai

Usse sikkon ki khannak kabhi raas na aai

Par kya kare wo bhi?

Dunya se pareshaan wo

Rok lete jaghan jaghan jaibain iski chaan lo

Dekho kya hai is ki qaddar lage kitna bhaao iska?

Kheencho iska chamra chun chun ke hunnar khao iska

Zinda nahi chorna ye kese hamse mukhtalif

Wo apni kahaani ke unwaan leta khud hi likh

Wo jaanta wo gir raha hai gardish ke mukhaalif

Wo janta wo mar raha

To kaffan rakhay sath me

Tum daal dena mitti

Uski bechaini ko yun raahat bhi nahi milni

Usne aas paas walon ke khwaabon ka kiya khoon

To tum pe bhi waajib ke cheeno uska sakoon

Usey taang do saleebon pe

Ya chowk me hi chor do

Ke tum sab aik jese

Bas aik hi tha faasadi wo

Shaoor aur aqal jesi ghatiya karta batain

Uske ghar walon se kaho ke boriya bistra baandhay

Tum aman ke rakhwale unhe choro ge nahi sheher me

Tum maar doge Bullah ya Mashaal phenko neher me

Jab aajae selaab tere ghaar ki dehleez pe

To kaho haara kalaakaar aur dunya ye jeet gai

Par andar hi andar ye tu bhi hai waakif

Ke tere jese log hi ye sheher dubaa gaye

Laanat hai, laanat hai


Apne gam se mera apna gehra naata

Kehna chahta par shayari likh jaata hu

Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada

Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu


Apne gam se mera apna gehra naata

Kehna chahta par shayari likh jaata hu

Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada

Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu

Similar Songs

+

      -   or   -

      -   or   -

      NG +234

          Please Select A Playlist

          Add New Playlist

          Share on

          Embed: Love & Light EP

          Custom Size :

          • Default
          • Desktop(300*600)
          • Mobile(300*250)

          Type :

          • HTML/HTML5 (WordPress Supported)
          Get Boomplay Premium
          for
          Payment Method
          Pay With
            Review and pay
            Order Date
            Payment Method
            Due Today
            Flutterwave
              Subscription Successful

              Congratulations! You have successfully activated Boomplay 1 Month Premium.

              Now you have access to all the features of Boomplay App.
              Payment Failed

              Please check your balance and then try again.

              You'll lose your subscription if we don't have a working payment method for your account, so please check your payment details.
              Need help? Contact Boomplay Subscription Support.
              Payment Processing...
              10 s

              Payment is being processed by . Please wait while the order is being comfirmed.

              Payment Processing
              Your order is processing, and it may take up to a few days for the service provider to handle your payment. Please kindly stay tuned and check your order status in ‘User Center’.
              About Order Status