Jeena Imtehaan ft. Mirza.wav Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Kaha tha kisi ne jeena imtehaan hai
Haar maan li hai ab is imtehaan mein
Ik taraf maut hai, ik taraf zindagi
Phansa hua hoon main darmiyaan mein
Maine dekhe hain usool is jahaan ke
Koii poochta nahi bure haalat mein
Pehle ginte hain sifar aa ke bank balance mein
Haal poochhte hain yahaan baad mein
To bech raha hoon khwaab aao rate to lagaao
Kab hoonga expire, mujhe date to bataao
Suno upar aik phone karo kaam hi mukaao
Mera form bharo umar 100 150 lagaao
Main bhi ret se banaa hoon tum bhi ret se bane ho
Phir kiun ghalat prove karne ki debate mein khade ho
Mere khwaab aasmaani hain yehh unhi ki nishaani hai
Jo aaj pathar le ke mere gate pe khade ho
Main bhi waqt ki talaash mein hoon
Tum bhi wait mein khade ho
Main bhi maara hoon haalat ka
Tum bhi fate se bandhe ho
To tumhaara mera gham dono aik hi to hain
Nikaal ke khataayein dono naik hi to hain
Dono hi udaas hain dono hi muskuraa rahe
To dekho mere bhai dono fake hi to hain
Give or take dono chaar din hi jeene waale hain
Dono dekh ke chup dono hi kameene waale hain
Hum to abhi tak hi phanse hue blame games mein
Jab hum hi saaqi idhar hum hi yahaan peene waale hain
Soyi hui qismatein soye hue zameer hain
Bech ke imaan dekho dono hi ameer hain
Soch se faqeer hain par bangle bade bade
Khataaon ke putle saare bane baithe peer hain
Insaan hi to hain, sudhar bhi to jaayeinge
Aazmaaish se apni guzar bhi to jaayeinge
Manzil ki talaash mein hum darbadar hue hain magar
Bhoole bhatke hum kabhi ghar bhi to jaayeinge
Khuda ke bharose dono Khuda ke sahaare hain
Aankh kholo chaaron ore Khuda ke ishaare hain
Back yourself, its never too late
Kaise kaise log yahaan Khuda ne sudhaare hain