Zara Tere Liye Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Zara teri yaad le ke
Zara teri yaad le ke
Zara teri yaad le ke
Ik subah jaise aaye, ik umeed jagaaye
Jaise aaye ik aawaaz jo ke paas bulaaye
Dukh ho ya dard ho, jo bhi dil mein gham ho
Dil se mitaaye, sab kuch wohh bhulaaye
Meri zindagi mein kuch aise aaye the tum
Roshni ki kiran si laaye the tum
Baithe rahe hum sab dil mein chupaaye
Pooocha tumne haal hum kehh hi na paaye
Tumne khud parh li meri saari mushkilein
Bas khud par li meri saari mushkilein
Meri aankhon ko zubaan maana
Dil ko makaan maana
Khudse mujhe nafrat thi,
Tumne mujhko jaan maana
Sab ne hi thukraaya
Tumne ehsaan kiya
Jeena namumkin tha
Tumne par aasaan kiya
Par tera pyaar bhi tha waqt ka ghulaam
Aayi thi jo subaah aa gayi uski shaam
Mere hi the abhi, abhi hue anjaan
Safar tha kiya, kiya nikla anjaam
Saath hi the abhi, abhi yaad ban gaye
Bane tum dua, fariyaad ban gaye
Ghamon ka paimaana taadaad ban gaye
Kiya the hum, kiya tere baad ban gaye
Hum rahe dil mein dabi ik sadaa,
Tum wahaan poori aawaaz ban gaye
Kaate mere par, meri chheen ke udaan
Kisi aur ki tum parwaaz ban gaye
Ab raaz ban gaye, humraaz the kabhi
Bane ibrat hum, andaaz the kabhi
Manzilein bataayin tumne raaston ka kiya
Socha bhi ni meri darkhwaaston ka kiya
Haal sanjeeda hai, dil hai udaas
Aa hi na paaun ab khud ko main raas
Zara teri yaad leke takiye pe sone de
Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de
Khushi mere liye to tu ban na saki
Zara tere liye mujhe aaj tu rone de
Aaj tu manaane de yeh sog mujhe
Tootne de mujhko nashr tu hone de
Chal de de thode aur rog mujhe
Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de
Tujhe diya hai yeh mauqa baar baar diya
Tujhe humne khudpe poora ikhtiyaar diya
Socha khair hai humaari muskuraaye lekin tu
Tujhe hone apne sar pe sawaar diya
Tere pyaar mein ho ke aar paar aaye hain
Teri dagha ka hum ho ke shikaar aaye hain
Kiye waade the jo zindagi bitaayein ge sang
Yahaan hisse mein to din bas chaar aaye hain
Is kahaani ko aisa ikhtisaar diya
Jo woh shakhs tujhpe marta tha maar diya
Muskuraaye the jo kabhi tera qarz to tha
Par tera woh udhaar ab utaar diya
Haan woh jeeti hui baazi thi hum haar aaye hain
Hoke aashiqui se aise bezaar aaye hain
Humein bech ke jo chaaha usne paana kisi aur ko
Bikne ko sare bazaar aaye hain
Zara teri yaad leke takiye pe sone de
Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de
Khushi mere liye to tu ban na saki
Zara tere liye mujhe aaj tu rone de
Aaj tu manaane de yeh sog mujhe
Tootne de mujhko nashr tu hone de
Chal de de thode aur rog mujhe
Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de
Zara teri yaad leke takiye pe sone de
Zara tere liye mujhe aaj paagal hone de
Khushi mere liye to tu ban na saki
Zara tere liye mujhe aaj tu rone de
Aaj tu manaane de yeh sog mujhe
Tootne de mujhko nashr tu hone de
Chal de de thode aur rog mujhe
Hota hai jo bhi mera hashr tu hone de