Khoya Sitara Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Kaali raaton mein
Sitara mera hausla
Khoya sitara maine
Na jaane wo hai kaha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Kal ki hi baat
Bajte aat bola jaate ghar
Laga galey aise jaise ke
Tai kiya koi safar woh dur ka
Jiska na kiya zikar par
Mujhko kuch laga alag
Na samjha main zaroori poochna
Mann mein thi ghabrahat
Aasmaane jab di dastak
Baadlon mein ghad ghadahat
Sawan laaya poorv-soochna
Dard se main jhunch raha
Uski rah mein hu ruka
Woh bin kahe liya vida,
Main aaj ghum bhulaara jaam se
Par jaam bhi nakamiyab
Glass rehte do aur
Baatein hoti thi hazaar
Aaj kehne ko hai kitna mujhko
Par sannata hi hai saath
Pichle sunday ko bhi saath the
Baithe khele taash the
Patto ke saath kaash usne
Baate haal chal the
Bandey ki bhi kya baat thi
Khojne se na miley
Aisi thi usme khoobiyan
Soch mein thi saadgi aur
Aaj bhi afsos ke
Avasaad nikla khufiya
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Kaali raaton mein
Sitara mera hausla
Khoya sitara maine
Na jaane wo hai kaha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Thande yeh farsh pe leta
Khudko ab main koss raha
Faarishton ne pukaara tujhe
Kyu tha main khamosh khada
Galey jab lagey pehle pakkad
Kyu maine chhod diya
Mud ke chalne laga tujhe
Kyu na maine rok liya
Bol tu bol deta
Apne aap se beta tang tha
Raaz yeh khol deta
Apne aap mein lad raha jung tha
Saal beeta par haal mera
Waise jaise uss din ko tha
Khyaal tera rula deta
Mera dard kaise karu bayaan
Khudse tang aakhein hai num
Khuda lagta mujhse khafa
Dobaara jeena chahu wo shaam
Sochne ka ab faydaa kya
Bhaari akelapan jhelta main saare din ko
Jhela nahi jaata bas ek tere janam-din ko
Fika lagta sab
Raha mithai mein koi swaad na
Beetey na saal ka din koi
Jab aati teri yaad na
Dua mein tu hai yaad
Main khuda se hu yeh maangta
Firdaus mein ae dost tu
Hamesha muskura raha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Kaali raaton mein
Sitara mera hausla
Khoya sitara maine
Na jaane wo hai kaha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha
Kaali raaton mein
Sitara mera hausla
Khoya sitara maine
Na jaane wo hai kaha
Jab main gira tab
Uthara mujhe kaun tha