Khizaan ft. Amna Riaz Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Tum aati toh saansein tham jaati theen
Zindagi tab hi toh jaan kehlati thi
Gulon mein bahaar na thi
Tab zindagi udhaar na thi
Sisakti saanson se aasman takte thay
Chot jab lagti toh bewaja hastay thay
Muskurahatein bezaar na theen
Kaghaz ki kashtiyaan jahaaz na theen
Beparwah tha jahan
Ab hain tootay makaan
Tamanna-e-sarfaroshi se
Mureed-e-dunya
Bepardah tere saath
Ab hai beech ye deewar
Kal thay ashiq-e-la-ilmi aaj
Sarwar-e-khizaan
Khwaab ka tara jaise aasman se toota to yeh
Sasta sa ashiq gaya is zameen ke andar jaise
Nothing to live for ab hum hain aur ye khamoshi kaise
Bataun tum ko ye raaz aur kho doon dil kil masti aise
Raat ke do bajay aur mein tumhari sochon mein gum
Samajh aata nahi kyun har dua mein shaamil ho tum
Bastay yaadon ke sath ab nahi hai koi rahat balkay
Sapnay bunta raha us aasman ke neechay kyunke
Sisakti saanson se aasman takte thay
Chot jab lagti toh bewaja hastay thay
Muskurahatein bezaar na theen
Kaghaz ki kashtiyaan jahaaz na theen
Beparwah tha jahan
Ab hain tootay makaan
Tamanna-e-sarfaroshi se
Mureed-e-dunya
Bepardah tere saath
Ab hai beech ye deewar
Kal thay ashiq-e-la-ilmi aaj
Sarwar-e-khizaan
Khizaan