SARVADI KRISHNA Lyrics
- Genre:Spirituals
- Year of Release:2023
Lyrics
Bucks Boy Music
Murali manohar keshav giridhar
Sarveshvar yadu gwale tum
Jab janam liya dharti kar pawan
Mathura me ho padhare tum
Jab kansa adhin nidra ki bandi me
Bandi gruh tod langhe tum
Yamuna kar pawan sheshnag sang
Gokul me ho biraje tum
Jay shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna
Shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna
Haji Nand ke ghar anand padhare
Mahadev swayam darshan aave
Devi devta gwal rup le
Balrup ke krishna nihare
Maiyaji ko kanha the satave
Bhumi dhanya kar mitti wo khave
Ghabrai maiya mukhmandal jhanki
Tab kanha the bramhand dikhave
Balpan putna ka sanghar kare
Beth kaliya ke phan prabhu nritya kare
Aaye rakshas jo bhi bheshantar kar
Yadu nandan shyam unke pran hare
Trunavat bhavandar Shant kare
Prabhu bakasur ka deh ant kare
Kanha Vatsasur patake vriksha pe
Aghasur ka vish shant kare
Esi leela rachai mohan ne
Govardhan uthaye girdhar wey
Jab kans ke dar baat aan padi
Soche kese bachaye pran jivan ke
Prabhu aaye mathura kal ban ke
Chanur mushti mardan karke
Kiya kans daman swayam hatho se
Mathura vrindavan sab harshe
Mathura vrindavan sab harshe
Mathura vrindavan sab harshe
Jay
Shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna
Shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna
Dharma kshetra dharma gyan diye
Prabhu pandu putra uddhar kiye
Swayam arjun ko bhagvad geeta
Updesh jagat sansar diye
Ran Kurukshetra ko tar diye
Ha ni shastra ran sthan liye
Kaurav sang akshohini senao ke
Adharma path khich pran liye
Arjun ko dikhaya vishwa roop
Diye bhishma pratigya ant swarup
Prabhu Guru dron ka moh tod
Bheje mrutyu log se swarg lok
Duryodhan dwesh ant bheem dut
Hui dushshasan chati lahu bhut
Draupadi ka pran hua purna roop
Shri krishna liye jab yam swaroop
Shri krishna liye jab yam swaroop
Shri krishna liye jab yam swaroop
Jay
Shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna
Shri radhe krishna gopal krishna
Sansar krishna parmatma krishna
Hai aadi krishna parmadi krishna
Sarvadi krishna sab anta krishna