![Koi Mahaan](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/08/08/37e53009ec574412999fe2a7acb39a8aH3000W3000_464_464.jpg)
Koi Mahaan Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2023
Lyrics
Koi mahaan Main na
Ataryami bhi nahi hoon
Main bss kuch logo ki
Baate badi badi
Karmo mein gandagi
Unse alag meri bass
Khubi yahi
Hai talaash hai
Sach ki mujhe ab
Na mijaaz mein
Boond ghamand ki
Gyaan ki hai jo kami
Main hoon dhoondh raha
Meri iccha na
Ram banne ki
Ram banke bhi
Kya ukhaad lunga
Sach bakna yahan pr
Vyarth hai
Maryada jo
Laanghe na
Woh ram ko pyaara
Yahaan jeevan arth hai
Jhoothe mard ki pooja
Dharam
Karam mein likh diya
Tujhpar karz
Hai farz banaya jo
Jaat ke naam pe
Woh likhne wala kya?
Sach ya bharam?
Devil dikhe mujhe
Har ik shaqhs mein
Lage jaise
Pataal ek swarg hai
Kahan socha
Banane wale ne
Insaaniyat
Banegi yahann
Bhram ek
Kabse hai mujhe
Jhanjhanahat
Meri tez saans
Chale tez dhadkan
Mujhe insaan ki shaqal mein haiwaan
Dikhta hai kehta hai ainaa bhi yeh ab
Bhole ka main bhagat karat
Mera naam amar
Karun kaam jo aaj main
Bante honge mahaan yahan pe
Jo aaj hai unka naam kharaab hai
Kaam haram hai
Matlabi duniya bhi
Inki chalate lagake bazaar hai
Bhookh hai jisko kala ki yahan pe
Woh bharkar pet bhi
Berozgaar hai
Kyun sunaau daastaan jo
Har gali mein bikti hai
Kodi ke bhaav mein
Tu aake dekhle
Zindagi tujhe lagegi teri
Asaan hai
Gala ghot sapno aaj
Masaan banake mazak bana rahe
Marne na sapno ko de
Ban mashaal
Raakh karde inke iraade
Kheenchi lakeere
Toh bhi bane akshar
Har pal sar pe sawaar hai
Bas garam
Kalam aur syaahi ki khusboo
Yahi hai dharam aur main
Hip hop ka majnu
Main
Dhyaan du iss beat ko banane mein
Gyaan du jab panne ho haathon mei
Jwala basa hai badan ki rago mein
Aur siyaahi ke chinto se barsa du aag mein
Aag meri
Aankh ter
Khol degi
Yeh baatei hi dheent hai
Sunke bhi unsuna
Karke tu dekh le
Par qismat bhi cheez ajeeb hai
Aaj nikal le
Ghamand ki bhar ke
Jeb mein par
Seekh seekh le
Phati jeb mein kuch bhi na tikta
Jo aaj hai paas kal qadar kidhar hai
Devil dikhe mujhe
Har ik shaqhs mein
Lage jaise
Pataal ek swarg hai
Kahan socha
Banane wale ne
Insaaniyat
Banegi yahann
Bhram ek
Kabse hai mujhe
Jhanjhanahat
Meri saans tez
Chale tez dhadkan
Mujhe insaan ki shaqal mein haiwaan
Dikhta hai kehta hai ainaa bhi yeh ab
Nahi meri
Zubaan kesariya
Par rakht ka rang hai kesari
Jindagi ki jung
Main hu phir bhi khada
Kyunki main hi sena pati
Main hi hoon army
Aadmi ek
Metaphor tha
Khoon ka rang bhi laal hi
Ik jaisa sabka sanyojan
Bas faraq vichaardhaara ka hi
Yaahaan bahut se hai khade
Banna chahte bada pr
Bada na yeh soch sake
Na yeh khoj sake
Iraade jaise mere bade
Ah
Paire jahan pade
Jis field mein
Kar doon tabah career
Maharathiyon ke
Haan bastiyo mein
Yah farziyo ki
Main na hasti kyunki
Main hoon OG