![Kaala x Shabdkosh](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/08/08/37e53009ec574412999fe2a7acb39a8aH3000W3000_464_464.jpg)
Kaala x Shabdkosh Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2023
Lyrics
Instrumental
Kaali hoti huyi
Dekhi raatein kaali hai
Kaale aksharo ko
Kaali kahaani hai
Kaali kalam meri
Kaali hi siyaahi hai
Kaalikh pote yeh
Kaali kamayi hai
Kaali aanko ki yeh
Kaali kalpanayein
Khaali dimaago ki
Kaali hi rachnaye
Khaare samundar ka
Paani bhi kaala
Jo bole alag khudko
Dil se woh kaala hai
Kaala hai khoon bhi
Nas mein samaya
Jo kala hai jwala toh
Des bhi kala
Hai log bhi kaale
Mann ke bhole bhaale
Banke jo ujaade
Woh banjar bhi kaala
Hai manzar bhi kaala
Hai mantar bhi kaala
Hai upper se baaghi
Woh andar se kaala
Yeh rang hai pakka
Na utre prayatno se
Apno ko jaano
Na bhatko kalanko mein
Rangi mein bhed kare kaise saare
Jo saare hi rang bane kaale se
Rango mein anban bhi hoti zamane se
Bhoole kaale mein hi saare samayenge
Janme hai kaale se saare
Kaala hi yahan pe sabka pita hai
Khabro ki maane toh kaala bura hai
Pr khabro mein aksar kaala bikta hai
Yeh kaala jo asli hai usme matbhed hai
Kaal jo nakli woh jhooth safed hai
Kaale se nikla hai yeh safed
Pr kaale ki qabar bana use beche yeh
Kaala hua jab nanga bazaaron mei
Nikla woh kaala hi sabke vichaaro mein
Karke toh dekho safed ko nanga
Toh jaanoge woh bas ek beherupiya hai
Kaal ek(ek)
Kaala nek(nek)
Kaala na dogla
Jaahil safed
Kaala ek
Kaala nek
Kaala na dogla
Jaahil safed
Kaala ek
Kaala nek
Kaala na dogla
Jaahil safed
SHABDKOSH
Sabdkosh se hai nikle
Sabd kitne gehre mujhko
Gher ke rakhe hai naag
Sach ka mere kanth pe
Main ban gaya shiva
Meri teesri hai aankh likhna
Aag likhna likh ke main
Bhasm kar doon jaali bande
Aakhiri charam tak
Saath de qala jo meri
Aakhiri har saans tak
Sunaunga main vaani apni
Kaan kholo aankh
Khud b khud khulegi sunke mujhko
Ek ghar ka ban chiraag
Ujli kar doon saari basti