
Jaane Kya Lyrics
- Genre:Light
- Year of Release:2022
Lyrics
Aankhon mein mere, Sapnay hain jawaan
Jaane zindagi, le jaaye kahaan
Main toh hoon apni hi dhun mein jawaan
Jaane kya, hoga jaane kya
Meri aadat se har koi haara
Main toh hoon baadal se bhi aawaara
Mujhse na rakho koi umeedein
Phirta hoon main yoon hi maara maara
Mere khwaab toh, choomein aadmaan
Jaane hai kahaan, mera aashiyaan
Main toh hoon apni ki dhun mein jawaan
Jaane kya, hoga jaane kya
Par jab bhi main neend se jaagunga
Khwaab apne main poore kar dunga
Pyaar karega mujhse phir har koi
Ban jaaunga aankhon ka main taara
Hoga phir tumhe, mujhpe hi gumaan
Jaanunga main jab manzil hai kahaan
Filhaal apni hi dhun mein jawaan
Jaane kya, hoga jaane kya
Aankhon mein mere, Sapnay hain jawaan
Jaane zindagi, le jaae kahaan
Main toh hoon apni hi dhun mein jawaan
Jaane kya, hoga jaane kya