
Nazar ft. Outsky Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2022
Lyrics
Ghumshuda dil mera
Yoon hua nazron mein teri
Tujhe khabar hai kya
Maanta hi nahi
Besabar bas mein ab mere
Rahe bhi yeh kahan
Har kadam tumhein chaloon
Hasratein bhi yeh karoon
Ke ho sakoon kabhi tera
(Na raha mera)
Ek nazar pe bas teri
Fursatein fanaa karu sabhi
Tujhe khabar hai kya
Agar tu, sun bhi le zara
Yeh dil, tujhse keh raha hai kya
Deewana, bheed mein khada
Nazar bhi, tujhko aaun kya pata
Dard main tu razaa
Sard main tu kiran
Seher ki narm dhoop ka
Humsafar dhoondta
Mai chala darbadar
Tere nishaan yahan wahan
Hosh kya junoon kya, Farz kya sukoon kya mera
Kadar mujhe kahan
Saup doon naseeb bhi, Main lakeeron mein teri magar
Kadar tujhe kahan
Agar tu, sun bhi le zara
Yeh dil, tujhse keh raha hai kya
Deewana, bheed mein khada
Nazar bhi, tujhko aaun kya pata