Delirious Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2019
Lyrics
Tu mere paas hai
Mujhe badi khaas hai
Par pyaar bakwaas hai
Apne pe fir bhi naaz hai
Bhari bhadaas hai
Nikli aaj aas hai
Bolun kya aise lafz main
Shaant rehna mera farz hai
Aisi baat bataaon
Keh ke chala jaaon
Laut ke nhi aaon
Chahe main pachtaaon
Par naam tumhaara
Dil pe likhvaaon
Har baat main
Tum ko bataoon
Mere kal ki kahaani
Main sabko sunaaon
Tu shaant reh
Main shor machaoon
Tu shaant reh
Main sabko rulaaon
Toote dil ki kahaani
Yeh sabko sunaaon
Aao
Are aa jao
Thoda paas
Aur aa jao
Suno
Bade dhyaan se
Mere dil ke
Taraane
Reit ki
Tarah hi
Meri baat
Nikal jaayegi
Aur seekhi hui cheezen
Dimaag se
Fisal jaayengi
Maine pyaar kiya
Koi paap kiya
Jis karke tune mujhe
Gaadh diya
Aage se
Sawaal kiya
Mere kaan ke neeche
Tune jhaad diya
Kya kiya
Ab yeh bhi bataoon
Sab chod ke sun
Mujhe maar diya
Mere yaar
Maine kya kiya
Are maine toh sirf
Pyaar kiya
Pyaar samjhaaon
Kya main bataaon
Shaant reh ke kya
Chillaana sikhaaon
Pyaar samjhaaon
Kya main bataaon
Awaaz nikaale bin
Ro ke dikhaaon
Pyaar samjhaaon
Kya main bataaon
Ho rhe kaam ko
Band karke dikhaaon
Pyaar samjhaaon
Kya main bataaon
Chal rhi saans ko kya
Rok kar dikhaaon
Are pyaar ke saath
Mere yaar bhi chod gye
Dard ke samay main
Mera haath hi mod gye
Mooh pe bhole bann ke
Yeh toh
Peeth peeche yaar mujhe hi
Thok gye
Sahi kehte the mere baap
Iss umar ain pyaar hai ek paap
Gunaah karke bhugtega yaar
Sunn le ab tu meri baat
Yeh pyaar vyaar sab jhol hai
Haan pyaar vyaar sab jhol hai
Yeh duniya badhi gol hai
Haan pyaar vyaar sab jhol hai
Iss khel main aane se pehle
Pyaar main jo fail hai
Yaad rakhna mere bete
Voh insaan sabke goals hai