Meheki Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2022
Lyrics
Na jane kaha se tu aya tutte tare ki tarah
Roshni sa hai tu chaya bana tara tu mera
Chamakta hai tu raahon mein meri
Sath chalta jab bhi lagti raatein baatein ye hassi
Teri yaadon mein basien hoon main
Ya tere bahoon k karib hoon main
Teri khushboo se hu abhi bhi meheki main
Thodi hu beheki main
Khoobsurat si thi shaam
Kya mulakaat thi wo
Waise toh gumsum si
Par sang tere azaad thi jo
Na maine paya aise khud ko kabhi
Sang tere hi hai jana maine mujko sahi
Mere jeene ki wajah hai tu
Khalipan mein aake bhar deta hai sansein tu
Sharaab bhi lagti fheki jab bhi paas tu
Mere sath tu
Tu jo mera na ho saka mere khuda
Hai tu basa mere dil mein ek raag sa
Jab bhi tuje main gungunau mere khuda
Ankhoon se beheti boondein
Sang unke yaadon ki kashtiyaan
Mere jeene ki wajah hai tu
Khalipan mein aake bhar deta hai sansein tu
Sharaab bhi lagti fheki jab bhi paas tu
Mere sath tu mere paas tu
Teri yaadon mein basien hoon main
Ya tere bahoon k karib hoon main
Teri khushboo se hu meheki beheki meheki beheki
Meheki beheki main
Na jane kaha se tu aya tutte tare ki tarah
Roshni sa hai tu chaya bana tara tu mera
Chamakta hai tu raahon mein meri
Sath chalta jab bhi lagti raatein baatein ye hassi