
EK TARFA PYAAR Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khudse naraz hu mai
Khudse naraz hu mai
Teri hi yaadon mai
Khoya sa rehta hu
Aazad panchi tha mai
Pinzre mai rehta hu
Aksar jo hoti thi mai
Baate wo karta hu
Dard akela mai
Akela hi Sehta ku
Kehna hai bohot kuch par khone se darta hu
Hasil na ho phir bhi koshish to karta
Zehn pura chand Aur dil se mai kehta hu
Tuzh se hai pyaar aur tuzhse hi karta hu
Khwaish ho puri mai sazish bhi karta hu
Apno mai rehkar bhi apno se darta hu
Hatheli mai mere tera haat chahta hu
Gharwalo sang tera sath chahta hu
Chahta hu bohot kuch par hasil na hota hai
Tere sang jenna tere bin marna hai
Karana hai sab kuch jo karte log
Pyar mai kitne mar jaate har roj
Dil aur dimaag sath chahiye both
Hara mai phir bhi nahi chode hopes
Khoya hu teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu mai
Khud se naraz hu mai
Teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu
Khud se naraz hu
Ek tarfa hi sahi
Par pyaar karta hu
Khone ka daar hai
Kehne se darta hu
Karta hu jo ho sab tuzhko pasand
Tere har 1 pasand mai hai meri pasand
Dekha pehli dafa muzhe aagi pasand
Lagi apsara katil nazar
Likhne mai baitha likh di ye nazam
Baatein karne ke liye Bahane bhi kam
Din accha dekhu tera chehra jab
Jab Sota hu tu sapno mai mile
Sapno mai bulaye tu pass muzhe
Ye saari baatein muzhe zhut lage
Ye zhut bhi dil ko aacha lage
Tuzhe sacha lage na pyaar mera
Dil karta raha intejaar tera
Rahe pyaar mera adhura sahi
Uprwala muzhe insaaf dega
Phir bhi dil mera tuzh pe ruka hai
Kehne se kyu ye dar raha hai
Kehni thi jo baat wo dil mai fasi hai
Gustakh ne kyu gustakhi kari hai
Jabse nazre mere tuzh se mili hai
Tu pass hai phir kyu dur khadi hai
Khoya hu teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu mai
Khud se naraz hu mai
Teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu
Khud se naraz hu
Ibadat karu tuzhe mile inayat
Nazakat teri muzhe karti hai ghayal
Ruthe tu muzh se hai tuzh ko ijajat
Kasoor mera mai na karu shikayat
Adat esi bana bura shakshiyat
Imtehaan tu lele hu tuzh se mai qurbaat
Galib nahi phir bhi kalmon se kasrat
Hoke rubaru hojati hai rukshat
Dustak de dil pe teri hi yaadein
Aahate teri khwab sajaye
Sari sari muzhe raat jagaye
Teri hi bas yaad dilaye
Shabnam tu meri shaba pilade
Ek baar dekh aur muskurade
Alfaaz eise jo fana bana de
Mukhda jo chand ka noor churade
Khoya hu teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu mai
Khud se naraz hu mai
Teri hi yaadon mai
Teri hi yaadon mai
Khud se naraz hu
Khud se naraz hu