
Naata Lyrics
- Genre:Soul
- Year of Release:2021
Lyrics
Saans leta tha teri bahon mein
Ab reh gayi sirf yaadon mein
Bhoolun main kaise woh lamhe
Jo gujre the dil ki rahon se
Zindagi nahi sunti kahani ab meri
Mai sunta hun tumhe jaise shayari koi
Khwabon mein dekhe jo tare zameen par bikhar gaye
Hum bichhde kuch aise jaise the hi na mile
Tera mera ye naata ab toote na
Tujhko khokar main na jee paunga
Manzil meri tujhi se raahein bhi tujhi se
Wapas aaja na hona mujhko yun fanaa
Tu pyaar mera tu chaahat meri
Tu ja rahi jaan meri ja rahi
Tu kal tha mera tu aane wala bhi
Sang tu rahe dua mangi thi yahi
Waqt hi badla na badali meri qismat
Maine tumse hi sikha mere jeene ka maksad
Awaaz de raha sunlo meri dhadkan
Hai bulati tumhe puri kardo meri sargam
Mana maine tujhko hai apna sab kuch mana
Tere dil mein hai rehna zindagi bitana
Jaane jaana main hun tera hi deewana
Hasee teri jaise meri khushiyon ka khazana
Kaise main ab bhulu baaton ko
Kaise main ab bhulu raaton ko
Dooba hun jazbaaton mein teri
Ab sunta hun Khamoshiyon ko