
i z h a a r Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2021
Lyrics
Khayalo mein ab
Mulakaat hoti hai
Khwaabo mein tu
Mere saath hoti hai
Khwaish teri
Mujhe sone nahi deti
Beychain meri
Har raat hoti hai
Khayalo mein ab
Mulakaat hoti hai
Khwaabo mein tu
Mere saath hoti hai
Khwaish teri
Mujhe sone nahi deti
Beychain meri
Har raat hoti hai
Har din tujhse dur
Jaise zamaana hogaya
Jahaan se tere mei
Begaana hogaya
Samjhaya khud ko bahot
Par deewana hogaya
Pyaar tera shamma
Toh mei parwaana hogaya
Khumaar tera
Kis tarah mujh par chhaaya hai
Siva tere
Iss dil mein koi nahi aaya hai
(Koi nahi)
Yaad teri
Sirf akele mein nahi aati
Aur jab hai aati
Tab akela kar jaati
(Kyunki)
Sirf khoya nahi pyaar meine
Khoya ek dost
Tanhai ka hai aalam
Mera itna sa dosh
Nazrein kar rahi thi bayaan jab
Lafz the khaamosh
Tujhe laga khafa hun mei
Par mei toh tha madhhosh
Hui jo tu juda
Meri khushiyaan chhoot gayi
Toota nahi dil mera
Meri duniya toot gayi
Rishta kaisa hai humara
Gehra kyun hai ye raabta
Kashish aisi kyun hai
Tera noor hai kya pata
(I miss you)
Khayalo mein ab
Mulakaat hoti hai
Khwaabo mein tu
Mere saath hoti hai
Khwaish teri
Mujhe sone nahi deti
Beychain meri
Har raat hoti hai
Pyaar paane ke liye karna
Vyapaar hogaya
Intezaar mein tere mei
Bekaraar hogaya
Mile nahi hum
Maan lunga kismat achi nahi hai
Hone nahi dunga ehsaas
Ye shiddat sachi nahi hai
Paa nahi sakta
Par chah sakta hun
Jazbaat hai jo mere
Voh bata sakta hun
Palko par apni
Tujhe bitha sakta hun
Apna kar dekh
Tera reh jaa sakta hun
Jaan bhi nisaar du
Aisa kal mera ho
Tere dil ke dehleez pe
Mera pehra ho
Badle mein maangta nahi kuch
Ek subah meri ho
Jis mein sawaar lu teri zulf
Aur panah teri ho