
Dimaag Kharaab Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2021
Lyrics
Aa na
Chal le sang mere
Aaja na
Ki aksar dil kahe
Dil mera kare kabhi kabhi
Baatein aisi ki mann na kare ki
Mai uski sunun
Na kuch bhi sunun
Ye keeda overthinking ka
Hai ghusa kuch aisa ki
Pant jhadta rahun
Na nikalta yun
Ye quarantine kara dimaag kharaab
Ladka pyara khalipan se bhara
Chahiye har pal baatein kare zara
Khaali baithne se darne laga
Khud hi kari khadi diwaaren
Aur rang diye unhe
Un jhoothon se sabhi
Jo hai mann mera mujhko sunaye
Haqeeqat se kufr
Hone chaahen log kaafi
Par ye jagah jo
Jahaan ruka hun mai wo kuaan hai
Hai wo kuaan ki jahaan bhula dete tasveeron ko
Aur tasavvur ko maane hai aaina
Main wahin ka
Jahaan saaye na
Daraayen kya
Jab hum khud wahi
Na bhookh ki kami
Ye mere ehsaas hain na falsafe koi
Dil mera kare kabhi kabhi
Baatein aisi ki mann na kare ki
Mai uski sunun
Na kuch bhi sunun
Ye keeda overthinking ka
Hai ghusa kuch aisa ki
Pant jhadta rahun
Na nikalta yun