
1 am freestyle Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2025
Lyrics
Mere jaise bohot
Mujhe mile kaun
Ye auro se jang
To apne hai maun
Jo sapne mai aate
Wo puche mai kaun?
Ha thoda sa hairaan
Thoda sa khauf
Na aae ab call
To mai kya kru?
Subah uthta hu
nahi tera naam padu
Jab kaam pe hu
Subaah shaam se hu
zindagi k nashe kiye
Jaana nahi jaam pe hu
Tujhe naaz nhi Tujhe na fikar
Uthe na kalam
Jo tera na ho zikar
Lambi ye aot jo jhut ki bun rakhi tu
M bhi dhago se dhakta badan
M darta na lehro se khada bekhabar
M nazarein churau jo tu dhundle agar
M haathon se banau tareeke magar
Tarkebon pe teri na aata asar
Saal gaye bane anjaan time flies
Mujhe na dikha wo farak bata kaha h?
Your life was coated with moments alive
My life was a myth cause i laid on your lies
(True that)
Maine laashein chupai hai par khoon na hai
Meri aakhon ne dekha na bhool paae
Wo mard jo jeeta hai dil leke apno ka
Usko na pucho sukoon kaha h?
Aur pyaar ke tu jaan-e-jaan dilaase na de
Tu bhi dil deti unhe jo hai pyase baithe
Meri baaton ko dil se sune wo bhi
Mujhe likhna hai aata tu wajah ye na de
4 kadam pe 10 sawaal tere
1 galat tu saath mai chalti na
4 koss door chalo mujhe kehti tu
Jo mai 4 din mila ni tu badli kya?
Khair
Safar hua wahi pe khatam
Mere toote bharam
Maine kyu chuna pyaar
Agar mere saath sanam
Mujhe khud se bhi jyada tha
Tumpar hi naaz
Ye lavzon ki mukbari mai
Mere dil ki tijori m dukh bhari hai
Jise door rakho wahi khole use
Aur chaabi na haathon m ruk rahi hai!
Fayda ky ab
Jo ham door hai
Chuke nishaane
Majboor hai
Jhoote paimaane
Kubool hai
Rooh ki kahani
Pe dhool hai!
Surkhiyan sakht
Mashoor hai!
Kayda kya ab
Aap bhool aae
Din bhar se ghisre
Sukoon aae
Milte na ab
Par na bhool paae
Mile hi kyu
Aisa bol jaae
Hamse jo roothe
Na bol paae
Mere jaisa bohot
Mujhe mile kaun
Tere jaise bohot
Jo dhundte tujhko hi tujhme wo roz
par tu kho jaae
Mere bina dil tera thoda ro jaae
Jab jeene k arth m soch aae
To zindagi lagti h bojh
Aye