Ladke Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2025
Lyrics
Zubaan dega pyaar ko nibaane ki wo
Chaand taare laane ki aur shayari sunaane ki
Kyunki ladka hai ye mardon wali zaat aisi hi hai
Rehte sadgi mei trying saccha pyaar paane ki
Ye toot-te hain roz fir bhi haste rehte paaglon se
Saath na kisi ka baat krte rehte baadlon se
Jaam ye banake khud se hi ye dard baat lete
Pyaar ke hain bhooke, pet khaali to bhi kaat lete
He's workin for baap ki dawai fir didi ki sagaai
Khud ka mann maar bheje ghr pe kamaai
Nikaalne ko to nikaal doge laakhon khaamiya
Par ye bhi dekho kitni zimmedaariyan uthaayi
Haan razaai ke bina bhi laundey so hi lete
Kaam ho to khana chhod adhura haath dho hi lete
Bante sare strong dete hain tasalli doston ko
Phir bhi shaant kamre mei akele thoda ro hi lete
Chaar jodi kapde saal mei, chala hi lete
Chaar paise sweat baha ke, kama hi lete
Kaat ke ye baat ke ye tukde khud ke ladke
Chaar din sookhi roti saale kha hi lete
Chaar jodi kapde saal mei, chala hi lete
Chaar paise sweat baha ke, kama hi lete
Kaat ke ye baat ke ye tukde khud ke ladke
Chaar din sookhi roti saale kha hi lete
Poochta samaaz pooche"kyun janaab?
Karte kya hain aap kitne number aaye?"
Abe chup hoja mere baap, number hain kharaab
Tumse kya? Na le mera hisaab
Kyun band thi kitaab kyun na kar paaya firse top
I was in the shop my dad was going through a lot
Nobody to talk, kaise chalegi akele shop
Kya hoga guzaara, boodha hu its difficult to walk
Kya hoga humaarha. (aree mai dekh lunga na papa)
Zimmedaariya aa gyi thi, nibha raha tha
College ke paiso se ghar ka ration mai la raha tha
Bakhaan karne ko aaye the apni beti ka na?
Mai apne ghar ka bada beta bann dikha raha tha
(Hum dikhaate nahi hain iska matlab ye nahi
Ki hume dard nahi hota
Bas baat inti si hai ki
Agar humne dikha diya ki hume dard hota hai na
To jo humare bharose baithe hain wo toot jaaenge)
Chaar jodi kapde saal mei, chala hi lete
Chaar paise sweat baha ke, kama hi lete
Kaat ke ye baat ke ye tukde khud ke ladke
Chaar din sookhi roti saale kha hi lete
Chaar jodi kapde saal mei, chala hi lete
Chaar paise sweat baha ke, kama hi lete
Kaat ke ye baat ke ye tukde khud ke ladke
Chaar din sookhi roti saale kha hi lete