![Ashq ft. Ebraheem Rana](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/01/22/001375c2416847e280f4b2435712d157H3000W3000_464_464.jpg)
Ashq ft. Ebraheem Rana Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2025
Lyrics
Talle hum chaand ke khare
Khudki hi jaan se lare
Usme dhoond rahe hai tujhko
Teri judai se dare
Bachai hai yaad ki razai tere liye
Wapis ao dekho hath mein hum kaanch liye khare
Kaanch ka dil toota hath se phool gira
Phir wo pooche mera din keisa gaya
Din nahi kate tere bin
Raat hote pi betha gin
Ab gin gin tare dhalti jo shaam
Aj badal aise jeise likha ho naam tera
Nahi ye kaam mera likhta jo sher
Lekin yaad ati bohat tabhi kagazoon ka dher
Mere kamre mein khushbo teri per khushi nahi
Pasand hasi teri agr wo na dikhi mein dukhi sahi
Dil toota ek baar aj duki sahi
Ghar para khaali udaasi bhari
Khudko mein boloun tu kaafi nahi
Wo raazi nahi ab wo maazi sahi
Bahar qismat mein nahi to andhi sahi
Maafi talafi bhi kaafi nahi
Guzr chuka waqt ab to baki sahi
Doosroon mein dhoonde kya khudme tu ghar bna
Ainay ke samne khudi se darta raha ussi pe marta raha
Wo barh chuki aage tu jaam idher bharta raha
In bottloon mein dhoonde tu khudko
Tooti jo ye to toota tu ander se
Kanch ka tukra ye dil kaafi banjer hai
Ek ansu se lare bhai agge samunder hai
Mere ashqo ke nadio mein terti tu
Iss lahu ke samandur mein lehar si tu
Jabh dariya vo sookh ke pohnache asmaano pe
Baadal ban ke khwaabon ko barsaye tu
Aur hain arso se dur tou nah rahu sakoon mein
Betahasha nashay behte iss khoon mein
Chahat badan ki ke choo ke jaye tu humein
Chahat is dil ki bas jaye tu rooh mein
Two faced nahi bro baat krta mu pe
Hu nice ya phir rude sabh depend krta mood pe
Baat krne ka dil nahi krta kabhi kabhi kisi se
Tou iska Matlab ye nahi ke masla mujhko tujhse
Khud se karu jabh guftugu
Tou ehsaas hota zindagi mein bas hai tu
Jo apnaa chukki hai aib mere na kay mujko bolti hai ke badal ja tu
Aur badaleo kyun Zindagi ne banaya aesa
Aur Kuch rakhe Ve asool
Jinko torhna na, paisa
Aur shauhrat ke peechay bikkne waalo mein shumaar na
Ye qalam barse aag, nargh bhi kahay kamal