
THITHOLI Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Ye bas ek kahani hai
Tere mere beech kiye bas ek kahani hai
Tere mere beech ki
Ye bas ek kahani hai
Tere mere beech ki
Thitholi nahi pelunga mai
Urbanisation se badi thitholi kya rakhi hai
Bichare baccho ko
Bachpan se na badhne dekar
Ameeri karwati shehero ki
Bhakti hai
Ek aisa sheher jo koi aur chalata
Gaadi tumhari par sadak koi aur bhagata
Upar jane ke liye lift de rakhi hai
Ameeri karwati shehero ki
Bhakti hai
Luxury aur class ki feel le
Jiske paas hai kam rokda uske liye bhi deal hai
Hasmukh zindagi ki reel hatake, capital based society hi ameen hai
Ameen hai ya mai bolu om
Uvecog, ye banda hard like foam
Oxymorons for all the morons
Ok bbie im going
Pagalo ki sabha mai mai pagalo sa baitha
Pagalo ki sabha me mai pagalo sa baitha
Pagalo ki sabha me mai pagal bana kyu?
Pagal bana pagal bana pagal bana kyu?
Sheheri ladka gav me ake bass gaya
Gav ka ladka sheher me ake bass gaya
Antar bahut hai, antar bahut hai, antar bahut hai, antar bahut hai
Raat ki raani ramm gayii
Dheeme dheeme saanse meri, thamm gayii
Apne bete ko kaise bachau apni buri adato se
Jo ki mujhpe rang gayii
Yamraj bole wapas aaja
Mai muskurake bolu mai nahi ata
Tere bin bhala taal dhaal kaise gaalo se khele meri mummy
Par maa, tum ho kaha
Kyu chali gayii
Apne bete ko chhodke
Kya mai itna natkhat
Badtameez aur battar
Jiski sazaa thi tere upar chadhani ek
Safed chaddar
Ek safed chaddar
Pagalo ki sabha me mai pagal bana kyu?
Pagal bana pagal bana pagal bana kyu?
Sheheri ladka gav me ake bass gaya
Gav ka ladka sheher me ake bass gaya
Antar bahut hai, antar bahut hai
Antar bahut hai, antar bahut hai
Ye bas ek kahani hai
Tere mere beech ki
Ye bas ek kahani hai
Tere mere beech ki