
WAQT Lyrics
- Genre:Rock
- Year of Release:2025
Lyrics
Waqt ki Bediyon mein bandha hai
Khoya hua insaan hai
Chuna hai isko aasman ye
Asliyat se anjaan hai
Andheri galiyon mein gum hai abhi tak
Manzil se ye anjaan hai
Apni hi dhun mein apni hi khatir
Sochta insaan hai
Wakt se koi bada nahi sun o bande
Wakt hi sab ka insaaf hai
Kr adab uski sohbat ki tu bande
Us ki ye Kaynaat hai
Us Khuda ki di ye khairaat hai sambh le bande
Tu na tha hai or na rhega bs wo aljbaar bande
Ruh se kr bandgi
Hoga Barkton ka asar
Us pe Rakh yakeen tu
Rakh sabr kr shukar
Nafrton se bhara ye jahan hai
Khali yhan insaan hai
Uske karam ki de tu duhai
Khofe-e-khuda insaan ve
Andheri galiyon mein gum hai abhi tak
Manzil se ye anjaan hai
Apni hi dhun mein apni hi khatir
Sochta insaan hai
Sun o bande... sun
Wakt se koi bada nahi sun o bande
Wakt hi sab ka insaaf hai
Kr adab uski sohbat ki tu bande
Us ki ye Kaynaat hai