![Gulaab Si ft. ABS](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/11/13/c3ad3cc3044f44d4ad34978a399c2693H2044W2044_464_464.jpg)
Gulaab Si ft. ABS Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Tujhe bula sakta hun gulab sa
Teri mehak hai ittar si rubaab sa
Teri jhalak aftaab kamal si
Tu mere rag mein haq hai sharaab sa
Tujhe bula sakta hun gulab sa
Teri mehak hai ittar si rubaab sa
Teri jhalak aftaab kamal si
Tu mere rag mein haq hai sharaab sa
Gulab si aankhein, gulab se gaalon pe
Hontho se choomu, Shabab ki baatein
Ye ishq ka anjaam kya hai pata na
Par ishq mein dooba, tu mujhko bacha le
Badan pe, kamar pe jo haath gaya to
Izaazat de mujhko, shikayat gunaah hai
Ye phoolon ke beech mein tu na khile to
Khile jo bagicha, nayaab jagah tu
Nayaab gulab tu, khwaab, inaam tu
Mere jeene ki wajah tu, aftaab tu
Jaan tu, jaam nasha tu, gumaan tu
fitrat hai meri, tu ambar, shafaq
To pehli dafa wala pyaar jagade
To andheri shaamon mein jugnu kamaal
Main aankhein padhun, labzon mein na ho baatein
Jo kaati thi raatein, mohabbat ki baatein
Tujhe bula sakta hun gulab sa
Teri mehak hai ittar si rubaab sa
Teri jhalak aftaab kamal si
Tu mere rag mein haq hai sharaab sa
Hazaron hai marte, main pehle khada hun
Hai laakhon fida, to main laakhon dafa hun
Deewaron par tasveer tujhse ghira hun
Main tujh par kar baitha hun khud ko tabaah kyun
Nawaabon se rehta tha khud ke shehar mein
Ab tu meri raani, main tera ghulam hun
Gulab si lagti, gulab se hotho se
Naam le mera, to sab dukh bhula doon
Samundar in aankhon mein, kalam se haathon se
Khaali paanon pe main shayar bana
Maine nazmein likhi tere baare mein kitni
Aur likh kar khat phaade, na zahir kiya
Tere badan ki Khushboo, kamar ki nazakat
Tu zulfein lehrake kare mujhko ghayal
Ab izhaar kaise karoon tu bata
Jo tu lagti gulab, to kya doon gulab?
Main chahta Gulabo tu ban ja woh raaz
Jo jaane mere saare asraar raaz
Jo jaane meri jalan aur mera pyaar
Jo jaane mera kaisa tha pehla pyaar
Jo jaane meri aadat, shiddat aur khwaab
Aur jaane main kitna bhi baitha naraaz
Par uske bina meri zindagi jaise ho
Murjhaya koi gulab