![Dhaarmic Me](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/10/12/baad493719d243cead3e8ac0cc1def5fH3000W3000_464_464.jpg)
Dhaarmic Me Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Bhaiya ne ram ram sare mere
Mein hu raavan bhakshi devesh
Mann kre jeyu jaise kabhi saadhu
Kabhi kabhi lelu sevan mai daaru
Din bhar sochu maya laadhun
Ya fir chori daaka daalu
Hai dimaag mai daanav chaalu
Par insaan bhi mai dayaalu
Merme mai hi mai
Keval mai hi mai
Meri budhi mai merse bada koi ni h
Chall hai duniya or shaaririk aakarshak
Mahila ke jaal mai aadhe mard
Bhool chuke hai khud ka lakshya par
Banawati ye sab ishwar rabb
Teri Dua mai sansaarik ye vyarth
Jaan ne ko swarg ka maarg darshan
Ye toh teri duniya
Kalyug mai mein bhi jeeta jaagta kal ka
Paapi madirapaan ka sevan karta jab mai
Khushiyaan jeeta
Ya mai duvidha jhelta
Ye toh teri duniya
Bakra kat ta teri bali ka
Sab me bat ta khali pett
Bhara khaake bezuban janwar ki plate
Dilo mai gussa samne dikhata mai bhi prem
Ye teri duniyaa ishwar ab tujhe pe blame
Insaan mein wo jo gaano mein tu pehchanega
Insaan mai ni wo jo khali hath leke bhage idahr bhoj k sahare
Apni nakamyabi nikalu kroodh k sahare
Aas pas log ghume mere jhume jo maal k dhue mai
Kehte le tu bhi pee ham hai kalyug k jeev
Aese vicharo mai palti apni yuva peedhi
Kar unme ginti meri parantu meri budhi
Ki vidhi beshan tedhi jo tujhse sultegi nhi
Toh leta ghuss kyuki ander mere laalchi insaan
Or deta bhent kyuki dalyalu ka beejh meri maa
Paath pooja karun aur kabhi mai padhu geeta gyaan
lekin kar deta paap raat hote bhasht dhyan
Dikha de koi aesa jo in lekh ko jootha jata de
Mein likhta jaun jo mere samne chlta Sarvsresth
Bhatki ki rah pe shakti bina k mai ghumun jaha pe
Vaha pe na ja sake aere gaere wali soch k sahare
Meri baato ka kehna h itna ki 2 rooh h ander jo
Karwati paap dilwati shraap
Or dusri jo ganga ke snaan pe deti hai dhyaan
Dhuljati hai paap jo kalyug ka saar hai
Mein bas likhta jau
Bas likhta jau
Bas likhta jau
Tera haath ho ser pe
Bhole ke naam pe mai karta jau
Ye darmic yantra sashtra, astra, vijaybhav
Har Karn dharn, dharaa shaahi ye syahi asal
Vaatavaran se mili kala , kalaa ishwaram
Agnipath, roopi chalan svyam aakruti
Maanheeti mai kalam bakshish
Dharmo Swarg se prasthan hua panchi
Kalyug dwaar mai aya mai paane amrit
Parantu shama kare paapi bana nastik ye kartik
Mai he mai keval mai he mai
Dikhta nikat na shatru koi jo
Mail khaade meri kala se
Kal tu rahe na par tera karam hai
Zinda azad parinda
Ghume naseeb ka chuninda
Baadalo ko chuke seekha
Nishano se na chuka
Safalta ka bhookha
Janmo se aye na vansh
Ab paeda to karke seena chauda
Sabka jeena
Likhayi pane ko Kaafi chuka,
Vardaan ko na jane mai dunga
Dharmic yantra shastra kaafi seekha
Ab agle ganno m pardarsan sabka
Aakhir kaar bakhoobhi hoga