
Akela Kaafi Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Haan kare honge kaam galat maine kuch
Kuch dil tode kuch-on ka dil hoga dukhaya
Par kisi club me chindi paise daal ke
I'm the owner kabhi nahi jataya
Dil nahi lagapaya maine bada try maara
Dil tik nahi paya ek naznee se doosri pe bade gote khaaya
Mujhe tabhi samajh aaya hai duniya hai bus moh maaya So faya
Bina soche samjhe keh deti hai jo bhi sahi hai
Mere dil patthar tere paas nahi hai
Sahi me aankh se hai lahu tapkaya
Palkhon se logon ke liye hai namak uthaya
Mere paas jo maine khud hee kamaya
Dus ke do dikhaye do ka dus nee dikhaya
Tune gaadi toh hai leli
Par naa bhari jaa ree kishte
Mere gaano ke wajey se
Baith khaye pushte
Gaane dawaiyan
Khol rakhi pharma
Kaabu karu aasman
Kabhi liyo aazma
Shakal theek thaak teri
Par kharaab aatma
Tu lagwa rahi plastic
Tujhe chahiye plasma
Kuch ladkiyan khush hommie shada hogaya
Kuch launde Jale hommie bada hogaya
Alag sound alag game thodi dirty money fame
Mujhe sunn inki bandiyon ka khada hogaya
Karwalo operate its two o two three
Duniya ko kare judge par waise who we
Khush reh rabb ka shukar kara kar
Dharti pe tu bhi ek dot barabar
Shohrat aage sajj ke khadi reh gayi
Kehti tune bhi poocha bhi nahi
Mudh ke kyu dekha bhi nahi
Tere jaisa koyi dooja bhi nahi
Aurat aage sajj ke khadi reh gayi
Kehti tune bhi poocha bhi nahi
Mudh ke kyu dekha bhi nahi
Tere jaisa koyi dooja bhi nahi
Paisa aage sajj ke padha reh gaya
Kehta duniya meri karti hai pooja
Tune mujhe dekha bhi nahi
Tujh jaisa koyi dooja bhi nahi
Mere rabb ka hai haat mere sir pe
Tabhi kisi ko chadhaya nahi sir pe
Tabhi har baar khada hota gir ke
Tabhi Haar baar khada hota gir ke
Hommie tere liye
Hommie Tere wala
Hommie Dilliwala