Mere Khwaab Lyrics
- Genre:Rock
- Year of Release:2024
Lyrics
Na mujhe chaand chahiye, Na mujhe taare chahiyen
Mujhe yahin muqammal khwaab saare chahiyen
Na rahe andhera ab kisi ki zindagi mein
Na rahe andhera ab kisi ki zindagi mein
Zami'n par jo chamke wo sitare chahiyen

Sikudti hai insaniyat mayusi ki thand mein

Pighla sakun ye barf aise angaare chahiyen
Mujhe yahin muqammal khwaab saare chahiyen
Muddat se soye hain hukmraan chain ki neend

Takht-O-taj hila den waise naare chahiyen
Mujhe yahin muqammal khwaab saare chahiyen
Na sirf apne chahiyen na sirf tere chahiyen

Sab ek hain to sapne sach hamare chahiyen