SUFIYA ft. Zohaib Naeem Babar & Shammi Jalandhari Lyrics
- Genre:World Music/Folklore
- Year of Release:2024
Lyrics
Musafir dill kaa na yahan koi basera
Yeh dil hee to apne sakun ka lutera
Mile jo kahin mujh ko noor e Khuda
mita doo main apni khudi kaa Andera
Sufiya
Sufiya
Sufiya oh Sufia
Koi de mujhe bhi apni sufi ada
Ke jaise tere paas baitha
Mere bhi paas aa ke baithe khuda
Sufiya
Oh Sufiya
Koi de mujhe bhi apni sufi ada
Ke jaise tere paas baitha
Mere bhi paas aa ke baithe khuda
Ulfat ki aisi tu sikha de adaaa
Yaad rahe naa mujhe
Kisi kee khataa
Jag main koi Bairi
na begaanaa dikhe
Aisi nazar mujhe kar de ataa
Daman mere ko tu
Kar De sufiyaana
Dil ko bana de mere Rabb ka Ashaayana
Toot na paye mera imaan kabhi
Chahe jag sara hi ho jaye kafiraana
Aisa koi Nagma de
Labo'n pe aye mere ban ke duaa
Sufiya
oh sufiya
Koi de mujhe bhi apni sufi ada
Ke jaise tere paas baitha
Mere bhi paas aa ke baithe khuda
Manzil naa aye koi
Kaisa yeh safar
Khahishon kee itni kion lambi hai dagar
Pal do pal hee yahan thehre khushi
Khushiyon kee itni kion chhoti Umar
Ke man ko chain mile
Aisa poshida koi raaz bataa
Sufiya
oh sufiya
Mujhe bhi de de aisi sufi ada
Ke jaisa tere paas baitha hai
Mere bhi paas aa ke baithe khuda